dil jari hai
ai dost! kabhī to aa ke mil
ye dil tere liye jaarī hai
dil jaarī hai
dil aaTh pahar se jaarī hai
jaise koī dariyā sāvan meñ
jaise koī barkhā jaaḌe meñ
aise meñ badrī kaarī hai
dil jaarī hai
dil aaTh pahar se jaarī hai
kabhī dil do-gunā ho jaatā hai
jab terā dard samātā hai
har saañs meñ ras mil jaatā hai
tere hone kā
tere nīñd-nagar meñ aane kā
dil jaarī hai
dil azloñ-azal se jaarī hai
tujhe niiñd samajh ke so luuñ maiñ
aur oḌh ke jīvan kar luuñ maiñ
ye niiñd adhūrī hotī hai
kahīñ sapne meñ khul jaatī hai
tujhe kaise oḌhūñ kambal meñ
tujhe kaise pahnūñ jaaḌe meñ
tujhe kaise bītūñ barsoñ meñ
jo biit chukā vo bādal thā
ab bītnā chāhūñ libāsoñ meñ
tujhe oḌhnā chāhūñ kapāsoñ meñ
kabhī aa ke mil
aise ki achānak dhuup khule
aise ki achānak shaam Dhale
aise ki achānak dard uThe
merī nas nas meñ
aur tū us dard meñ shāmil ho
ai dost! kabhi to aa ke mil
ye dil tere liye jari hai
dil jari hai
dil aaTh pahar se jari hai
jaise koi dariya sawan mein
jaise koi barkha jaDe mein
aise mein badri kari hai
dil jari hai
dil aaTh pahar se jari hai
kabhi dil do-guna ho jata hai
jab tera dard samata hai
har sans mein ras mil jata hai
tere hone ka
tere nind-nagar mein aane ka
dil jari hai
dil azlon-azal se jari hai
tujhe nind samajh ke so lun main
aur oDh ke jiwan kar lun main
ye nind adhuri hoti hai
kahin sapne mein khul jati hai
tujhe kaise oDhun kambal mein
tujhe kaise pahnun jaDe mein
tujhe kaise bitun barson mein
jo bit chuka wo baadal tha
ab bitna chahun libason mein
tujhe oDhna chahun kapason mein
kabhi aa ke mil
aise ki achanak dhup khule
aise ki achanak sham Dhale
aise ki achanak dard uThe
meri nas nas mein
aur tu us dard mein shamil ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.