dil ka moamla
ham be-hisāb mohabbat karte haiñ
kisī ko is qadar chāhe jaanā
dīvāngī ka vāhima hai
phuul nagar ke khoTe hue logoñ kī talāsh
shahar meñ hañgāma ḳharīdte logoñ ke iflās
ham kisī ko na chāhte hue bhī
kisī se mansūb ho jaate haiñ
sadiyoñ kī tavīl judā.ī
vo sulagte dil par muskurāte guzar jaatī hai
dil ka mo.āmla añdhere meñ mashkūk ho jaatā hai
kohar-ālūd dil meñ ye kaun dhaḌaktā hai
patthar ke aadmī kī tarah gum-sum
jo agnī kathā sunā bhī na sake
pītal ke nāḳhun vaalā zālim
vo lohe ke hāthoñ vaalā qātil
raat ke kisī suhāne pahar
terī shab kī lagan
mujhe lamha bhar ke liye bedār kar detī hai
kyā dar-e-yādgār ke hāfize par
ab bhī merā naam kunda hai
tū hī batā
kab tak tere ishq par naaz karūñ
kab tak terī yaad meñ dar-ba-dar phirūñ
hum be-hisab mohabbat karte hain
kisi ko is qadar chahe jaana
diwangi ka wahima hai
phul nagar ke khoTe hue logon ki talash
shahar mein hangama KHaridte logon ke iflas
hum kisi ko na chahte hue bhi
kisi se mansub ho jate hain
sadiyon ki tawil judai
wo sulagte dil par muskuraate guzar jati hai
dil ka moamla andhere mein mashkuk ho jata hai
kohar-alud dil mein ye kaun dhaDakta hai
patthar ke aadmi ki tarah gum-sum
jo agni katha suna bhi na sake
pital ke naKHun wala zalim
wo lohe ke hathon wala qatil
raat ke kisi suhane pahar
teri shab ki lagan
mujhe lamha bhar ke liye bedar kar deti hai
kya dar-e-yaadgar ke hafize par
ab bhi mera nam kunda hai
tu hi bata
kab tak tere ishq par naz karun
kab tak teri yaad mein dar-ba-dar phirun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.