dil ki aaKHiri tah mein
be-kalī na be-zārī
nai koī udāsī hai
dekhne ko lahje meñ
ḳhafagiyāñ nahīñ miltīñ
ek chup sī hai lekin
guftugū ke zamzam ko
rok rok detī hai
har adā-e-be-parvā
thaam thaam letī hai
bolne se pahle jo
sochne ko kahtī hai
har suḳhan mukammal hai
phir bhī harf kahte haiñ
baat nā-mukammal hai
qurbatoñ kī bārish meñ
ik gurez kā lamha
ab bhī dhul nahīñ paayā
haath se tadabbur ke
zehn-o-dil kī uljhan kā
ik ḳhafīf sā resham
ab bhī khul nahīñ paayā
zaḳhm be yaqīnī kā
mundamil huā lekin
rog kī ikaa.ī to
ab bhī saañs letī hai
vaqt ke salīqe ne
dukh kī ek silvaT par
ik dhulī huī muskān
khol kar bichhā dī hai
ās-pās rah kar bhī
sub.h-o-shām karne meñ
is qadar na kho jaanā
be-ḳhabar na ho jaanā
dil kī āḳhirī tah meñ
koī baat rahtī hai
be-kali na be-zari
nai koi udasi hai
dekhne ko lahje mein
KHafagiyan nahin miltin
ek chup si hai lekin
guftugu ke zamzam ko
rok rok deti hai
har ada-e-be-parwa
tham tham leti hai
bolne se pahle jo
sochne ko kahti hai
har suKHan mukammal hai
phir bhi harf kahte hain
baat na-mukammal hai
qurbaton ki barish mein
ek gurez ka lamha
ab bhi dhul nahin paya
hath se tadabbur ke
zehn-o-dil ki uljhan ka
ek KHafif sa resham
ab bhi khul nahin paya
zaKHm be yaqini ka
mundamil hua lekin
rog ki ikai to
ab bhi sans leti hai
waqt ke saliqe ne
dukh ki ek silwaT par
ek dhuli hui muskan
khol kar bichha di hai
aas-pas rah kar bhi
subh-o-sham karne mein
is qadar na kho jaana
be-KHabar na ho jaana
dil ki aaKHiri tah mein
koi baat rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.