dil ki aawaz
ai hasīñ chāñd sitāroñ
mirī āvāz suno
kyā tumheñ raat kī tārīkī se Dar lagtā hai
yā tumheñ mere shabistāñ se koī kaam nahīñ
itne ḳhāmosh ho kyoñ
kuchh to kaho
dekho maiñ vaqt ke tārīk bayābānoñ se
lamha-e-fikr kā ik haar churā laayā huuñ
merī āvāz suno
mere gītoñ kī machaltī huī āvāz suno
jhuum kar gaao
uTho
rañg bharo
raqs karo
ai hasin chand sitaron
meri aawaz suno
kya tumhein raat ki tariki se Dar lagta hai
ya tumhein mere shabistan se koi kaam nahin
itne KHamosh ho kyon
kuchh to kaho
dekho main waqt ke tarik bayabanon se
lamha-e-fikr ka ek haar chura laya hun
meri aawaz suno
mere giton ki machalti hui aawaz suno
jhum kar gao
uTho
rang bharo
raqs karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.