dil mere sahra-naward-e-pir dil
naġhma-dar-jāñ raqs barpā ḳhanda-bar-lab
dil tamannāoñ ke be-pāyāñ alaav ke qarīb
dil mire sahrā-navard-e-pīr dil
reg ke dil-shād shahrī reg tū
aur reg hī terī talab
reg kī nik.hat tire paikar meñ terī jaañ meñ hai
reg sub.h-e-īd ke mānind zartāb-o-jalīl
reg sadiyoñ kā jamāl
jashn-e-ādam par bichhaḌ kar milne vāloñ kā visāl
shauq ke lamhāt ke mānind āzād-o-azīm
reg naġhma-zan
ki zarre reg-zāroñ kī vo pāzeb-e-qadīm
jis pe paḌ saktā nahīñ dast-e-la.īm
reg-e-sahrā zar-garī kī ek kī lahroñ se duur
chashma-e-makr-o-riyā shahroñ se duur
reg shab-bedār hai suntī hai har jābir kī chaap
reg shab-bedār hai nigarāñ hai mānind-e-naqīb
dekhtī hai sāya-e-āmir kī chaap
reg har ayyār ġhārat-gar kī maut
reg istibdād ke tuġhyāñ ke shor-o-shar kī maut
reg jab uThtī hai uḌ jaatī hai har fāteh kī niiñd
reg ke nezoñ se zaḳhmī sab shahanshāhoñ ke ḳhvāb
reg ai sahrā kī reg
mujh ko apne jāgte zarroñ ke ḳhvāboñ kī
na.ī ta.abīr de
reg ke zarroñ ubhartī sub.h tum
aao sahrā kī hadoñ tak aa gayā roz-e-tarab
dil mire sahrā-navard-e-pīr dil
aa chuum reg
hai ḳhayāloñ ke parī-zādoñ se bhī ma.asūm reg
reg-e-raqsāñ māh-o-sāl nuur tak raqsāñ rahe
us kā abresham mulā.em narm-ḳhū ḳhandāñ rahe
dil mire sahrā-navard-e-pīr dil
ye tamannāoñ kā be-pāyāñ alaav
raah gum kar duuñ kī mash.al is ke lab par aao aao
tere maazī ke ḳhazaf rezoñ se jaagī hai ye aag
aag kī qurmuz zabāñ par imbisāt-e-nau ke raag
dil mire sahrā-navard-e-pīr dil
sargirānī kī shab-e-rafta se jaag
kuchh sharar āġhosh sarsar meñ haiñ gum
aur kuchh ziina ba ziina sho.aloñ ke mīnār par chaḌhte hue
aur kuchh tah meñ alaav kī abhī
muztarib lekin muzabzab tifl-e-kam-sin kī tarah
aag ziina aag rañgoñ kā ḳhazīna
aag un lazzāt kā sar-chashma hai
jis se letā hai ġhizā ushshāq ke dil kā tapāk
chob-e-ḳhushk añgūr us kī mai hai aag
sarsarātī hai ragoñ meñ iid ke din kī tarah
aag kāhin yaad se utrī huī sadiyoñ kī ye afsāna-ḳhvāñ
aane vaale qarnahā kī dāstāneñ lab pe haiñ
dil mirā sahrā-navard-e-pīr dil sun kar javāñ
aag āzādī kā dil-shādī kā naam
aag paidā.ish kā afzā.ish kā naam
aag ke phūloñ meñ nasrīñ yāsman sumbul shafīq-o-nastaran
aag ārā.ish kā zebā.ish kā naam
aag vo taqdīs dhul jaate haiñ jis se sab gunāh
aag insānoñ kī pahlī saañs ke mānind ik aisā karam
umr kā ik tuul bhī jis kā nahīñ kaafī javāb
ye tamannāoñ kā be-pāyāñ alaav gar na ho
is laq-o-daq meñ nikal aa.eñ kahīñ se bheḌiye
is alaav ko sadā raushan rakho
reg-e-sahrā ko bashārat ho ki zinda hai alaav
bheḌiyoñ kī chaap tak aatī nahīñ
aag se sahrā kā rishta hai qadīm
aag se sahrā ke TeḌhe reñgne vaale
girah-ālūd zholīda daraḳht
jāgte haiñ naġhma-dar-jāñ raqs barpā ḳhanda-bar-lab
aur manā lete haiñ tanhā.ī meñ jashn-e-māhtāb
un kī shāḳheñ ġhair-mara.ī tabl kī āvāz par detī haiñ taal
bīkH-o-bun se aane lagtī hai ḳhudāvandī jalājil kī sadā
aag se sahrā kā rishta hai qadīm
rahravoñ sahrā-navardoñ ke liye hai rahnumā
kārvānoñ kā sahārā bhī hai aag
aur sahrāoñ kī tanhā.ī ko kam kartī hai aag
aag ke chāroñ taraf pashmīna-o-dastār meñ lipTe hue
afsāna-go
jaise gird-e-chashm mizhgāñ kā hujūm
un ke hairat-nāk dilkash tajraboñ se
jab damak uThtī hai ret
zarra zarra bajne lagtā hai misāl-e-sāz-e-jāñ
gosh-bar-āvāz rahte haiñ daraḳht
aur hañs dete haiñ apnī ārifāna be-niyāzī se kabhī
ye tamannāoñ kā be-pāyāñ alaav gar na ho
reg apnī ḳhalvat-e-be-nūr-o-ḳhud-bīñ meñ rahe
apnī yaktā.ī kī tahsīñ meñ rahe
is alaav ko sadā raushan rakho
ye tamannāoñ kā be-pāyāñ alaav gar na ho
asia africa pahnā.ī kā naam
be-kār pahnā.ī kā naam
europe aur america dārā.ī kā naam
takrār-e-dārā.ī kā naam
merā dil sahrā-navard-e-pīr dil
jaag uThā hai mashriq-o-maġhrib kī aisī yak-dilī
ke kārvānoñ kā nayā ruuyā liye
yak-dilī aisī ki hogī fahm-e-insāñ se varā
yak-dilī aisī ki ham sab kah uTheñ
is qadar ujlat na kar
izhdihām-e-gul na ban
kah uTheñ ham
tū ġham-e-kul to na thī
ab lazzat-e-kul bhī na ban
roz-e-āsā.ish kī bedardī na ban
yak-dilī ban aisā sannāTā na ban
jis meñ tābistāñ kī dopahroñ kī
be-hāsil kasālat ke sivā kuchh bhī na ho
is jafā-gar yak-dilī ke kārvāñ yuuñ ā.eñge
dast-e-jādū-gar se jaise phuuT nikle hoñ tilism
ishq-e-hāsil-ḳhez se yā zor-e-paidā.ī se jaise nā-gahāñ
khul ga.e hoñ mashriq-o-maġhrib ke jism
jism sadiyoñ ke aqiim
kārvāñ farḳhanda-pai aur un kā baar
kiisa kiisa taḳht-e-jam aur tāj-e-kai
kuuza kuuza fard kī satvat kī mai
jaama jaama roz-o-shab mehnat kā ḳhai
naġhma naġhma hurriyat kī garm lai
sāliko firoz-baḳhto aane vaale qāflo
shahr se lauToge tum to pāoge
ret ke sarhad pe jo rūh-e-abad ḳhvābīda thī
jaag uThī hai shikva-hā-e-nai se vo
ret kī tah meñ jo sharmīlī sahar roīda thī
jaag uThī hai hurriyat kī lai se vo
itnī doshīza thī itnī mard-e-nā-dīda thī sub.h
pūchh sakte the na us kī umr ham
dard se hañstī na thī
zarroñ kī ra.anā.ī pe bhī hañstī na thī
ek mahjūbāna be-ḳhabarī meñ hañs detī thī sub.h
ab manātī hai vo sahrā kā jalāl
jaise izz-o-jal ke paañv kī yahī mehrāb ho
zer-e-mehrāb aa ga.ī ho us ko bedārī kī raat
ḳhud janāb-e-izz-o-jal se jaise umīd-e-zafāf
saare nā-karda gunāh is ke muaaf
sub.h-e-sahrā shād-bād
ai urūs-e-izz-o-jal farḳhanda ro tābinda kho
tū ik aise hujra-e-shab se nikal kar aa.ī hai
dast-e-qātil ne bahāyā thā jahāñ har sej par
saiñkaḌoñ tāroñ kā raḳhshanda lahū phūloñ ke paas
sub.h-e-sahrā sar mire zaanū pe rakh kar dāstāñ
un tamannā ke shahīdoñ kī na kah
un kī nīma-ras umañgoñ ārzūoñ kī na kah
jin se milne kā koī imkāñ nahīñ
shahd terā jin ko nashsh-e-jāñ nahīñ
aaj bhī kuchh duur is sahrā ke paar
dev kī dīvār ke nīche nasīm
roz-o-shab chaltī hai mub.ham ḳhauf se sahmī huī
jis tarah shahroñ kī rāhoñ par yatīm
naġhma-bar-lab taaki un kī jaañ kā sannāTā ho duur
aaj bhī is reg ke zarroñ meñ haiñ
aise zarre aap hī apne ġhanīm
aaj bhī is aag ke sho.aloñ meñ haiñ
vo sharar jo us kī tah meñ par-burīda rah ga.e
misl-e-harf nā-shunīda rah ga.e
sub.h-e-sahrā ai urūs-e-izz-o-jal
aa ki un kī dāstāñ dohrā.eñ ham
un kī izzat un kī azmat gaa.eñ ham
sub.h ret aur aag ham sab kā jalāl
yak-dilī ke kārvāñ un kā jamāl
aao
is tahlīl ke halqe meñ ham mil jaa.eñ
aao
shād-bāġh apnī tamannāoñ kā be-pāyāñ alaav
naghma-dar-jaan raqs barpa KHanda-bar-lab
dil tamannaon ke be-payan alaw ke qarib
dil mere sahra-naward-e-pir dil
reg ke dil-shad shahri reg tu
aur reg hi teri talab
reg ki nikhat tere paikar mein teri jaan mein hai
reg subh-e-id ke manind zartab-o-jalil
reg sadiyon ka jamal
jashn-e-adam par bichhaD kar milne walon ka visal
shauq ke lamhat ke manind aazad-o-azim
reg naghma-zan
ki zarre reg-zaron ki wo pazeb-e-qadim
jis pe paD sakta nahin dast-e-laim
reg-e-sahra zar-gari ki ek ki lahron se dur
chashma-e-makr-o-riya shahron se dur
reg shab-bedar hai sunti hai har jabir ki chap
reg shab-bedar hai nigaran hai manind-e-naqib
dekhti hai saya-e-amir ki chap
reg har ayyar ghaarat-gar ki maut
reg istibdad ke tughyan ke shor-o-shar ki maut
reg jab uThti hai uD jati hai har fateh ki nind
reg ke nezon se zaKHmi sab shahanshahon ke KHwab
reg ai sahra ki reg
mujh ko apne jagte zarron ke KHwabon ki
nai tabir de
reg ke zarron ubharti subh tum
aao sahra ki hadon tak aa gaya roz-e-tarab
dil mere sahra-naward-e-pir dil
aa chum reg
hai KHayalon ke pari-zadon se bhi masum reg
reg-e-raqsan mah-o-sal nur tak raqsan rahe
us ka abresham mulaem narm-KHu KHandan rahe
dil mere sahra-naward-e-pir dil
ye tamannaon ka be-payan alaw
rah gum kar dun ki mashal is ke lab par aao aao
tere mazi ke KHazaf rezon se jagi hai ye aag
aag ki qurmuz zaban par imbisat-e-nau ke rag
dil mere sahra-naward-e-pir dil
sargirani ki shab-e-rafta se jag
kuchh sharar aaghosh sarsar mein hain gum
aur kuchh zina ba zina shoalon ke minar par chaDhte hue
aur kuchh tah mein alaw ki abhi
muztarib lekin muzabzab tifl-e-kam-sin ki tarah
aag zina aag rangon ka KHazina
aag un lazzat ka sar-chashma hai
jis se leta hai ghiza ushshaq ke dil ka tapak
chob-e-KHushk angur us ki mai hai aag
sarsaraati hai ragon mein id ke din ki tarah
aag kahin yaad se utri hui sadiyon ki ye afsana-KHwan
aane wale qarnaha ki dastanen lab pe hain
dil mera sahra-naward-e-pir dil sun kar jawan
aag aazadi ka dil-shadi ka nam
aag paidaish ka afzaish ka nam
aag ke phulon mein nasrin yasman sumbul shafiq-o-nastaran
aag aaraish ka zebaish ka nam
aag wo taqdis dhul jate hain jis se sab gunah
aag insanon ki pahli sans ke manind ek aisa karam
umr ka ek tul bhi jis ka nahin kafi jawab
ye tamannaon ka be-payan alaw gar na ho
is laq-o-daq mein nikal aaen kahin se bheDiye
is alaw ko sada raushan rakho
reg-e-sahra ko bashaarat ho ki zinda hai alaw
bheDiyon ki chap tak aati nahin
aag se sahra ka rishta hai qadim
aag se sahra ke TeDhe rengne wale
girah-alud zholida daraKHt
jagte hain naghma-dar-jaan raqs barpa KHanda-bar-lab
aur mana lete hain tanhai mein jashn-e-mahtab
un ki shaKHen ghair-marai tabl ki aawaz par deti hain tal
bikH-o-bun se aane lagti hai KHudawandi jalajil ki sada
aag se sahra ka rishta hai qadim
rahrawon sahra-nawardon ke liye hai rahnuma
karwanon ka sahaara bhi hai aag
aur sahraon ki tanhai ko kam karti hai aag
aag ke chaaron taraf pashmina-o-dastar mein lipTe hue
afsana-go
jaise gird-e-chashm mizhgan ka hujum
un ke hairat-nak dilkash tajrabon se
jab damak uThti hai ret
zarra zarra bajne lagta hai misal-e-saz-e-jaan
gosh-bar-awaz rahte hain daraKHt
aur hans dete hain apni aarifana be-niyazi se kabhi
ye tamannaon ka be-payan alaw gar na ho
reg apni KHalwat-e-be-nur-o-KHud-bin mein rahe
apni yaktai ki tahsin mein rahe
is alaw ko sada raushan rakho
ye tamannaon ka be-payan alaw gar na ho
asia africa pahnai ka nam
be-kar pahnai ka nam
europe aur america darai ka nam
takrar-e-darai ka nam
mera dil sahra-naward-e-pir dil
jag uTha hai mashriq-o-maghrib ki aisi yak-dili
ke karwanon ka naya ruya liye
yak-dili aisi ki hogi fahm-e-insan se wara
yak-dili aisi ki hum sab kah uThen
is qadar ujlat na kar
izhdiham-e-gul na ban
kah uThen hum
tu gham-e-kul to na thi
ab lazzat-e-kul bhi na ban
roz-e-asaish ki bedardi na ban
yak-dili ban aisa sannaTa na ban
jis mein tabistan ki dopahron ki
be-hasil kasalat ke siwa kuchh bhi na ho
is jafa-gar yak-dili ke karwan yun aaenge
dast-e-jadu-gar se jaise phuT nikle hon tilism
ishq-e-hasil-KHez se ya zor-e-paidai se jaise na-gahan
khul gae hon mashriq-o-maghrib ke jism
jism sadiyon ke aqim
karwan farKHanda-pai aur un ka bar
kisa kisa taKHt-e-jam aur taj-e-kai
kuza kuza fard ki satwat ki mai
jama jama roz-o-shab mehnat ka KHai
naghma naghma hurriyat ki garm lai
saliko firoz-baKHto aane wale qaflo
shahr se lauToge tum to paoge
ret ke sarhad pe jo ruh-e-abad KHwabida thi
jag uThi hai shikwa-ha-e-nai se wo
ret ki tah mein jo sharmili sahar roida thi
jag uThi hai hurriyat ki lai se wo
itni doshiza thi itni mard-e-na-dida thi subh
puchh sakte the na us ki umr hum
dard se hansti na thi
zarron ki ranai pe bhi hansti na thi
ek mahjubana be-KHabari mein hans deti thi subh
ab manati hai wo sahra ka jalal
jaise izz-o-jal ke panw ki yahi mehrab ho
zer-e-mehrab aa gai ho us ko bedari ki raat
KHud janab-e-izz-o-jal se jaise umid-e-zafaf
sare na-karda gunah is ke muaf
subh-e-sahra shad-baad
ai urus-e-izz-o-jal farKHanda ro tabinda kho
tu ek aise hujra-e-shab se nikal kar aai hai
dast-e-qatil ne bahaya tha jahan har sej par
sainkaDon taron ka raKHshanda lahu phulon ke pas
subh-e-sahra sar mere zanu pe rakh kar dastan
un tamanna ke shahidon ki na kah
un ki nima-ras umangon aarzuon ki na kah
jin se milne ka koi imkan nahin
shahd tera jin ko nashsh-e-jaan nahin
aaj bhi kuchh dur is sahra ke par
dew ki diwar ke niche nasim
roz-o-shab chalti hai mubham KHauf se sahmi hui
jis tarah shahron ki rahon par yatim
naghma-bar-lab taki un ki jaan ka sannaTa ho dur
aaj bhi is reg ke zarron mein hain
aise zarre aap hi apne ghanim
aaj bhi is aag ke shoalon mein hain
wo sharar jo us ki tah mein par-burida rah gae
misl-e-harf na-shunida rah gae
subh-e-sahra ai urus-e-izz-o-jal
aa ki un ki dastan dohraen hum
un ki izzat un ki azmat gaen hum
subh ret aur aag hum sab ka jalal
yak-dili ke karwan un ka jamal
aao
is tahlil ke halqe mein hum mil jaen
aao
shad-bagh apni tamannaon ka be-payan alaw
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.