dilasa
chain se kaaT le lamhāt-e-asīrī ai dil
niiñd se chauñk ke taskīn na kho sabr to kar
tund-ḳhū ye tire lamhāt-e-asīrī ai dil
tere anfās kī garmī se harārat pā kar
sīḳhchoñ meñ se guzarte hue
phāñdte toḌte dīvār-o-dar-e-zindāñ ko
raat kī rāj-dulārī ko thapakte gaate
sub.h ke shoḳh sitāre kī taraf baḌhte hue
sū-e-ḳhvābīda-sahar
matla-e-anvār kī samt
baḌh rahe haiñ na.ī ummīd kā dāman thāme
tund-raftārī-e-lamhāt-e-asīrī kī qasam
niiñd se chauñk ke taskīn na kho
sabr to kar
chain se kaT le lamhat-e-asiri ai dil
nind se chaunk ke taskin na kho sabr to kar
tund-KHu ye tere lamhat-e-asiri ai dil
tere anfas ki garmi se hararat pa kar
siKHchon mein se guzarte hue
phandte toDte diwar-o-dar-e-zindan ko
raat ki raj-dulari ko thapakte gate
subh ke shoKH sitare ki taraf baDhte hue
su-e-KHwabida-sahar
matla-e-anwar ki samt
baDh rahe hain nai ummid ka daman thame
tund-raftari-e-lamhat-e-asiri ki qasam
nind se chaunk ke taskin na kho
sabr to kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.