dilli 25 june 1975
pal hī pal meñ ye saarā tamāshā huā
shahr ke paañv meñ sansanātī huī
ek golī lagī
aur vo chakrā ke
dhartī pe auñdhā girā
dekhte dekhte us ke chāroñ taraf
ḳhuun kā ek tālāb sā ban gayā
jhāḌiyoñ se Darī sahmī chiḌiyāñ uḌiiñ
ūñche ūñche daraḳhtoñ ke
gunjān pattoñ meñ dubke hue
sab parinde uḌe
chīḳhte chīḳhte
aur dahshat-zada āsmānoñ
ke sahrāoñ meñ kho ga.e
ḳhuun kā ek chhoTā sā tālāb hai
is meñ chup-chāp auñdhā paḌā shahr hai
kaash de kar zarā sā sahārā use
ab uThā le koī
us kī eḌī kī haDDī meñ aTkī huī
garm zahrīlī golī nikāle koī
shahr zinda hai ab tak
bachā le koī
pal hi pal mein ye sara tamasha hua
shahr ke panw mein sansanati hui
ek goli lagi
aur wo chakra ke
dharti pe aundha gira
dekhte dekhte us ke chaaron taraf
KHun ka ek talab sa ban gaya
jhaDiyon se Dari sahmi chiDiyan uDin
unche unche daraKHton ke
gunjaan patton mein dubke hue
sab parinde uDe
chiKHte chiKHte
aur dahshat-zada aasmanon
ke sahraon mein kho gae
KHun ka ek chhoTa sa talab hai
is mein chup-chap aundha paDa shahr hai
kash de kar zara sa sahaara use
ab uTha le koi
us ki eDi ki haDDi mein aTki hui
garm zahrili goli nikale koi
shahr zinda hai ab tak
bacha le koi
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 264)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.