dilli ka purana qila
zamāne Dhal ga.e hālāt kī tahrīr baaqī hai
purāne husn kī TuuTī huī tasvīr baaqī hai
na vo shamshīr baaqī hai na vo tauqīr baaqī hai
magar tārīḳh meñ lipTī huī ta.amīr baaqī hai
fazā-e-hast ke raahī maqām-e-būd par pahuñche
nuqūsh-e-rahguzar meñ partav-e-rahgīr baaqī hai
jo shohrat aam thī pahle ga.ī sadiyoñ ke madfan meñ
magar āsār meñ simTī huī tash.hīr baaqī hai
baqā ke ḳhvāb saare Dhal ga.e ḳhvāb-e-musalsal meñ
ye un ḳhvāboñ kī pathrā.ī huī ta.abīr baaqī hai
mazāq-e-ām sarf-e-kam-nigāhī hai to rahne do
dil-e-shā.ir kī āñkhoñ meñ abhī tanvīr baaqī hai
tilā.ī nuqra.ī jazbāt ke sāñche meñ Dhalne ko
rag-e-taḳh.īl par ik nashtar-e-tāsīr baaqī hai
ye buniyādoñ kī gahrā.ī ye dīvāroñ kī bebākī
jahāñ tamhīd qaa.em hai vahīñ ta.amīr baaqī hai
ye mazbūtī kī añgḌā.ī ye bal khātī fasīl-e-sang
vahī ik āhanī fitrat vahī zanjīr baaqī hai
kamīñ-gāhoñ kī peshānī kanakhiyoñ se murassā hai
tahaffuz kī kaḌī āñkhoñ kī kuchh tāsīr baaqī hai
ye be-tartīb patthar jhāḌiyāñ khaDDe ye hariyālī
kahīñ āġhosh-e-fitrat hai kahīñ ta.amīr baaqī hai
sarishk-e-yād nā-mumkin sahī duniyā kī āñkhoñ meñ
zabān-e-hāl par ik ālam-e-taqdīr baaqī hai
ye ḳhalvat-zār rūmānoñ se vābasta rahe yā-rab
ki tadbīroñ kī gardan par abhī taqdīr baaqī hai
zamane Dhal gae haalat ki tahrir baqi hai
purane husn ki TuTi hui taswir baqi hai
na wo shamshir baqi hai na wo tauqir baqi hai
magar tariKH mein lipTi hui tamir baqi hai
faza-e-hast ke rahi maqam-e-bud par pahunche
nuqush-e-rahguzar mein partaw-e-rahgir baqi hai
jo shohrat aam thi pahle gai sadiyon ke madfan mein
magar aasar mein simTi hui tashhir baqi hai
baqa ke KHwab sare Dhal gae KHwab-e-musalsal mein
ye un KHwabon ki pathrai hui tabir baqi hai
mazaq-e-am sarf-e-kam-nigahi hai to rahne do
dil-e-shair ki aankhon mein abhi tanwir baqi hai
tilai nuqrai jazbaat ke sanche mein Dhalne ko
rag-e-taKHil par ek nashtar-e-tasir baqi hai
ye buniyaadon ki gahrai ye diwaron ki bebaki
jahan tamhid qaem hai wahin tamir baqi hai
ye mazbuti ki angDai ye bal khati fasil-e-sang
wahi ek aahani fitrat wahi zanjir baqi hai
kamin-gahon ki peshani kanakhiyon se murassa hai
tahaffuz ki kaDi aankhon ki kuchh tasir baqi hai
ye be-tartib patthar jhaDiyan khaDDe ye hariyali
kahin aaghosh-e-fitrat hai kahin tamir baqi hai
sarishk-e-yaad na-mumkin sahi duniya ki aankhon mein
zaban-e-haal par ek aalam-e-taqdir baqi hai
ye KHalwat-zar rumanon se wabasta rahe ya-rab
ki tadbiron ki gardan par abhi taqdir baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.