dilli ki ek sham
farq kuchh bhī nahīñ
chāhe kisī bhī samt chalūñ
shahr kā dasht ghanā aur ghanā hotā hai
nīm-tārīk galī
jis meñ lagā ik khambā
zardī-e-ḳhās se rangtā hai galī ke kankar
jhuk gayā hai jo kisī pīr-e-ḳhamīda kī tarah
dam-ba-dam jal ke bujhā
bujh ke jalā
kyā kahiye
bas yahī shai hai jise shahr kā jugnū kah duuñ
sochtā huuñ maiñ kabhī yuuñ bhī ki is duniyā meñ
be-ma.ānī hai
mirā vajd meñ aa jaanā bhī
be-ma.ānī hai
ma.ānī kī tavaqqo' karnā
ek jangal hai ki jis meñ mire aa jaane se
farq kuchh bhī nahīñ
chāhe koī bhī raah chunūñ
ye jagah bhuul bhulaiyā hai
magar rastoñ se
maiñ bhī mānūs huuñ
duniyā bhī hai
sab log bhī haiñ
aur ik lamhā-e-be-sūd ko jiine ke liye
sabhī koshāñ haiñ
sabhī jī rahe haiñ jiine ko
aur maiñ bhiiḌ meñ tanhā huuñ
Thagā sā
phir bhī
aaj maiñ bhī huuñ isī bhiiḌ kā hissa bhar
bas
maiñ savāloñ se aqīdoñ pe luḌhak aaya huuñ
dhuñdh hai zehn meñ
pastī kā mujassam hai badan
koī āvāz-e-nihāñ
mujh se dobārā na kahe
jaag kar bhī na uThe bistar-e-duniyā se kyoñ
tum ma.ānī ke musāfir the
musāfir hī to the
farq kuchh bhi nahin
chahe kisi bhi samt chalun
shahr ka dasht ghana aur ghana hota hai
nim-tarik gali
jis mein laga ek khamba
zardi-e-KHas se rangta hai gali ke kankar
jhuk gaya hai jo kisi pir-e-KHamida ki tarah
dam-ba-dam jal ke bujha
bujh ke jala
kya kahiye
bas yahi shai hai jise shahr ka jugnu kah dun
sochta hun main kabhi yun bhi ki is duniya mein
be-maani hai
mera wajd mein aa jaana bhi
be-maani hai
maani ki tawaqqo' karna
ek jangal hai ki jis mein mere aa jaane se
farq kuchh bhi nahin
chahe koi bhi rah chunun
ye jagah bhul bhulaiya hai
magar raston se
main bhi manus hun
duniya bhi hai
sab log bhi hain
aur ek lamha-e-be-sud ko jine ke liye
sabhi koshan hain
sabhi ji rahe hain jine ko
aur main bhiD mein tanha hun
Thaga sa
phir bhi
aaj main bhi hun isi bhiD ka hissa bhar
bas
main sawalon se aqidon pe luDhak aaya hun
dhundh hai zehn mein
pasti ka mujassam hai badan
koi aawaz-e-nihan
mujh se dobara na kahe
jag kar bhi na uThe bistar-e-duniya se kyon
tum maani ke musafir the
musafir hi to the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.