dilli mein hain
aah kyā kyā āj-kal rañgīniyāñ dehlī meñ haiñ
rāstoñ par chaltī-phirtī bijliyāñ dehlī meñ haiñ
ḳhuld kī hūreñ bhī sharmātī haiñ jin ke husn se
āj-kal un mah-vashoñ ke kārvāñ dehlī meñ haiñ
halke-phulke āñchaloñ meñ naujavānī kā ubhār
raqs karte gungunāte gulistāñ dehlī meñ haiñ
aadmī kyā haiñ farishte bhī jinheñ sajda kareñ
in dinoñ raqsinda vo sarv-e-ravāñ dehlī meñ haiñ
mai-kashoñ ko nashsha ho jaatā hai be-jām-o-subū
husn kī vo dil-fareb añgḌā.iyāñ dehlī meñ haiñ
koī gul hai koī ġhuncha hai gulistāñ hai koī
har taraf gul-bāriyāñ gul-kāriyāñ dehlī meñ haiñ
koī mai-ḳhāna koī saaqī koī jām-e-sharāb
har taraf bad-mastiyāñ be-hoshiyāñ dehlī meñ haiñ
dar-haqīqat āj-kal ye shahr hai indar-prasth
vo hasīñ hūreñ vo sundar deviyāñ dehlī meñ haiñ
naġhma-ārā vādiyoñ meñ haiñ nujūm-o-mehr-o-māh
husn kī chhā.ī huī barnā.iyāñ dehlī meñ haiñ
aur inhīñ barnā.iyoñ ke saath ai ham-rāz-e-jāñ
kis qadar sahmī huī sī talḳhiyāñ dehlī meñ haiñ
aur inhīñ naġhmoñ ke saath ai mutrib-e-afsūñ-nigār
kis qadar sākit laboñ par hichkiyāñ dehlī meñ haiñ
āj-kal dehlī meñ kyā kyā hai na pūchh ai ham-nafas
choriyāñ haiñ rishvateñ haiñ pagḌiyāñ dehlī meñ haiñ
jo ba-zāhir but-shikan haiñ aur ba-bātin but-tarāsh
ḳhūbī-e-taqdīr se vo mehrbāñ dehlī meñ haiñ
ek doshīza kī qīmat ek roTī ho ga.ī
kis qadar ai dost anqā roTiyāñ dehlī meñ haiñ
koī kar saktā nahīñ firqa-parastoñ kī shanāḳht
ek do kyā Toliyoñ kī Toliyāñ dehlī meñ haiñ
bojh se jin ke pahāḌoñ ke laraz uThte haiñ dil
zindagī ke vo bhayānak imtihāñ dehlī meñ haiñ
jail ke tārīk kamroñ meñ jo rahte the kabhī
aaj bhī vo kāmiyāb-o-kāmrāñ dehlī meñ haiñ
koī suntā hī nahīñ ahl-e-mohabbat kī pukār
har taraf kuchh ajnabī sī boliyāñ dehlī meñ haiñ
ḳhuun ro haañ ḳhuun rotā hashr is adbār par
vo purāne taur ai dil ab kahāñ dehlī meñ haiñ
aah kya kya aaj-kal ranginiyan dehli mein hain
raston par chalti-phirti bijliyan dehli mein hain
KHuld ki huren bhi sharmati hain jin ke husn se
aaj-kal un mah-washon ke karwan dehli mein hain
halke-phulke aanchalon mein naujawani ka ubhaar
raqs karte gungunate gulistan dehli mein hain
aadmi kya hain farishte bhi jinhen sajda karen
in dinon raqsinda wo sarw-e-rawan dehli mein hain
mai-kashon ko nashsha ho jata hai be-jam-o-subu
husn ki wo dil-fareb angDaiyan dehli mein hain
koi gul hai koi ghuncha hai gulistan hai koi
har taraf gul-bariyan gul-kariyan dehli mein hain
koi mai-KHana koi saqi koi jam-e-sharab
har taraf bad-mastiyan be-hoshiyan dehli mein hain
dar-haqiqat aaj-kal ye shahr hai indar-prasth
wo hasin huren wo sundar dewiyan dehli mein hain
naghma-ara wadiyon mein hain nujum-o-mehr-o-mah
husn ki chhai hui barnaiyan dehli mein hain
aur inhin barnaiyon ke sath ai ham-raaz-e-jaan
kis qadar sahmi hui si talKHiyan dehli mein hain
aur inhin naghmon ke sath ai mutrib-e-afsun-nigar
kis qadar sakit labon par hichkiyan dehli mein hain
aaj-kal dehli mein kya kya hai na puchh ai ham-nafas
choriyan hain rishwaten hain pagDiyan dehli mein hain
jo ba-zahir but-shikan hain aur ba-baatin but-tarash
KHubi-e-taqdir se wo mehrban dehli mein hain
ek doshiza ki qimat ek roTi ho gai
kis qadar ai dost anqa roTiyan dehli mein hain
koi kar sakta nahin firqa-paraston ki shanaKHt
ek do kya Toliyon ki Toliyan dehli mein hain
bojh se jin ke pahaDon ke laraz uThte hain dil
zindagi ke wo bhayanak imtihan dehli mein hain
jail ke tarik kamron mein jo rahte the kabhi
aaj bhi wo kaamiyab-o-kaamran dehli mein hain
koi sunta hi nahin ahl-e-mohabbat ki pukar
har taraf kuchh ajnabi si boliyan dehli mein hain
KHun ro han KHun rota hashr is adbar par
wo purane taur ai dil ab kahan dehli mein hain
- Naye Tarane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.