dilli tere nam
kitnī baar ujāḌā tujh ko kitnī baar basāyā hai
achchhī aur burī qismat kā dillī tujh par saayā hai
taḳht-o-tāj kī duniyā tujh ko raas hamesha aa.ī hai
tere sar par to jhanDe kī chunarī hī lahrā.ī hai
'mīr' kā sher-o-naġhma tū ne qadam qadam par gaayā hai
'ġhālib' ke ehsās ne terā ā.īna chamkāyā hai
'dāġh' kī ġhazleñ sun sun kar jhūme haiñ tere bām-o-dar
dād-e-suḳhan ke kyā kyā manzar dekh chukī hai terī nazar
urdu jis kā naam hai vo terī hī god kī paalī hai
bāġh-e-suḳhan meñ tere dam se ravish ravish hariyālī hai
terī galiyāñ rashk-e-jannat tere kūche svarg samān
dillī terā naam hai lekin tū hai shān-e-hindostān
niiñd kī tū hai ujlī chādar ḳhvāboñ kā gahvāra hai
terī dhartī kā har zarra dil vāloñ ko pyārā hai
chāñd ke jaisā terā chehrā sūraj jaisī terī jabīñ
tere jaisā shahr zamīñ par dūsrā koī aur nahīñ
sach pūchho to dillī kī qismat ke rang nirāle haiñ
hindū muslim sikh īsā.ī is ke chāhne vaale haiñ
dillī kyā hai dil vāloñ kī āñkhoñ kā ik sapnā hai
is bastī kā har bāshinda jaise koī apnā hai
ham bhī 'nazīr' ab jā kar ik din dillī meñ bas jā.eñge
aur kisī din ham bhī dillī vaale hī kahlā.eñge
kitni bar ujaDa tujh ko kitni bar basaya hai
achchhi aur buri qismat ka dilli tujh par saya hai
taKHt-o-taj ki duniya tujh ko ras hamesha aai hai
tere sar par to jhanDe ki chunari hi lahrai hai
'mir' ka sher-o-naghma tu ne qadam qadam par gaya hai
'ghaalib' ke ehsas ne tera aaina chamkaya hai
'dagh' ki ghazlen sun sun kar jhume hain tere baam-o-dar
dad-e-suKHan ke kya kya manzar dekh chuki hai teri nazar
urdu jis ka nam hai wo teri hi god ki pali hai
bagh-e-suKHan mein tere dam se rawish rawish hariyali hai
teri galiyan rashk-e-jannat tere kuche swarg saman
dilli tera nam hai lekin tu hai shan-e-hindostan
nind ki tu hai ujli chadar KHwabon ka gahwara hai
teri dharti ka har zarra dil walon ko pyara hai
chand ke jaisa tera chehra suraj jaisi teri jabin
tere jaisa shahr zamin par dusra koi aur nahin
sach puchho to dilli ki qismat ke rang nirale hain
hindu muslim sikh isai is ke chahne wale hain
dilli kya hai dil walon ki aankhon ka ek sapna hai
is basti ka har bashinda jaise koi apna hai
hum bhi 'nazir' ab ja kar ek din dilli mein bas jaenge
aur kisi din hum bhi dilli wale hi kahlaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.