dilli
ye dillī hai
ye pahlī baar pāñDav ne basā.ī thī
ise dekhā to duryodhan hasad se khaul uThā thā
yahīñ vo sher-dil chauhān rahtā thā
jise āvāz par apnā nishāna dāġhne kā kashf aatā thā
nizāmuddīm se rūhāniyat kā dars le kar
vajd-e-ḳhusrav ne isī ke giit gaa.e the
humāyūñ ne isī kī ḳhaak meñ ḳhud ko milāyā thā
isī ke dil kī nāzuk dhaḌkanoñ ko 'mīr'-o-'ġhālib' ne zabāñ dī thī
ye apnī zaat meñ ik muḳhtasar hindostāñ ya.anī
ye rohīloñ kī nādir shaah kī rauñdī huī dillī
ik aisā shahr hai jo bārhā ujḌā magar jis ne
kabhī apnī adā-e-dil-navāzī ko nahīñ chhoḌā
ise taḳhrīb ke har vaar ne ta.amīr kā irfān baḳhshā hai
yahāñ har zulm karne vaalā āḳhir muñh kī khātā hai
ye har vaqt ek albelī dulhan kī misl
apnī maañg meñ sindūr bhar kar muntazir rahtī hai har āzurda-ḳhātir kī
yahāñ har sāhib-e-dil aa ke jaanā bhuul jaatā hai
ye dilli hai
ye pahli bar panDaw ne basai thi
ise dekha to duryodhan hasad se khaul uTha tha
yahin wo sher-dil chauhan rahta tha
jise aawaz par apna nishana daghne ka kashf aata tha
nizamuddim se ruhaniyat ka dars le kar
wajd-e-KHusraw ne isi ke git gae the
humayun ne isi ki KHak mein KHud ko milaya tha
isi ke dil ki nazuk dhaDkanon ko 'mir'-o-'ghaalib' ne zaban di thi
ye apni zat mein ek muKHtasar hindostan yani
ye rohilon ki nadir shah ki raundi hui dilli
ek aisa shahr hai jo barha ujDa magar jis ne
kabhi apni ada-e-dil-nawazi ko nahin chhoDa
ise taKHrib ke har war ne tamir ka irfan baKHsha hai
yahan har zulm karne wala aaKHir munh ki khata hai
ye har waqt ek albeli dulhan ki misl
apni mang mein sindur bhar kar muntazir rahti hai har aazurda-KHatir ki
yahan har sahib-e-dil aa ke jaana bhul jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.