Dimensions
vahī bahār o ḳhizāñ hai mujh meñ bhī
mujh se bāhar bhī
(ādmī se alag nahīñ huuñ)
shagūfe phūTeñ to ḳhuun meñ giit bolte haiñ
kabhī kabhī ḳhaar kī khaTak Tiis ban ke hoñToñ se jhāñktī hai
na-jāne kitne hī giit the jo bahār se pahle
shāḳh kī rag meñ jī rahe the
jaḌoñ kā buḳhl un ko khā gayā hai
ye ḳhār, sautele beTe shāḳhoñ ke
in tak aayā nahīñ hai nam
phir bhī jī rahe haiñ
(chamakte sūraj kā saarā sach un ke batn meñ hai)
tapish kī shiddat ko pī ke sūkhe saḌe hue haiñ
pa jī rahe haiñ
mujhe ḳhizāñ aur bahār ke rābtoñ meñ jiinā hai
phuul kā iltifāt kāñTe ke talḳh ta.ane
mire havāle haiñ
jaḌ kā nam, āftāb kī tab
mire hunar meñ hī boltī hai
maiñ kitnī sat.hoñ pe jī rahā huuñ
kabhī koī phuul muskurā.e
kabhī koī ḳhaar dil dukhā.e
to mujh tak aanā
ye nazm donoñ kā mājrā hai
wahi bahaar o KHizan hai mujh mein bhi
mujh se bahar bhi
(admi se alag nahin hun)
shagufe phuTen to KHun mein git bolte hain
kabhi kabhi KHar ki khaTak Tis ban ke honTon se jhankti hai
na-jaane kitne hi git the jo bahaar se pahle
shaKH ki rag mein ji rahe the
jaDon ka buKHl un ko kha gaya hai
ye KHar, sautele beTe shaKHon ke
in tak aaya nahin hai nam
phir bhi ji rahe hain
(chamakte suraj ka sara sach un ke batn mein hai)
tapish ki shiddat ko pi ke sukhe saDe hue hain
pa ji rahe hain
mujhe KHizan aur bahaar ke rabton mein jina hai
phul ka iltifat kanTe ke talKH tane
mere hawale hain
jaD ka nam, aaftab ki tab
mere hunar mein hi bolti hai
main kitni sathon pe ji raha hun
kabhi koi phul muskurae
kabhi koi KHar dil dukhae
to mujh tak aana
ye nazm donon ka majra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.