din
din guzarte haiñ
din kaise guzarte haiñ
yuuñ to sab hī din guzar jaate haiñ
jo zinda haiñ
vo to guzārte haiñ
zalīl hote hue
kabhī bhuuk ke hāthoñ
kabhī chāroñ taraf phailī un vabāoñ
kī sarparastī meñ
jo ḳhudā ban jaatī haiñ
saffāk be-rahmī ke libās meñ
gharoñ kī muñDeroñ par chaltī haiñ
chhalāvoñ kī tarah
chabātī haiñ maaoñ ke kaleje
chīrtī haiñ nanhe bachchoñ kā dil
apnī kisī ziyāfat meñ pesh karne ke liye
apnī hī jaisī balāoñ ko
nahīñ rok saktā koī unheñ
vo bhī jo un kā ḳhudā hai
vo bulāte haiñ apne ḳhudā ko bhī
is ziyāfat meñ
shāyad vo bhī insānī gosht kā
shauqīn hai
aur uksātā hai unheñ
jab jab use ishtihā hotī hai
un kā ḳhudā
sirf un kā ḳhudā hai
un kā nahīñ
jin ke kaleje chabā.e jā rahe haiñ
din guzarte hain
din kaise guzarte hain
yun to sab hi din guzar jate hain
jo zinda hain
wo to guzarte hain
zalil hote hue
kabhi bhuk ke hathon
kabhi chaaron taraf phaili un wabaon
ki sarparasti mein
jo KHuda ban jati hain
saffak be-rahmi ke libas mein
gharon ki munDeron par chalti hain
chhalawon ki tarah
chabaati hain maon ke kaleje
chirti hain nanhe bachchon ka dil
apni kisi ziyafat mein pesh karne ke liye
apni hi jaisi balaon ko
nahin rok sakta koi unhen
wo bhi jo un ka KHuda hai
wo bulate hain apne KHuda ko bhi
is ziyafat mein
shayad wo bhi insani gosht ka
shauqin hai
aur uksata hai unhen
jab jab use ishtiha hoti hai
un ka KHuda
sirf un ka KHuda hai
un ka nahin
jin ke kaleje chabae ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.