Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din diwangat hue

Kunwar Bechain

din diwangat hue

Kunwar Bechain

MORE BYKunwar Bechain

    roz aañsū bahe roz aahat hue

    raat ghāyal huī din divañgat hue

    ham jinheñ har ghaḌī yaad karte rahe

    rikt man meñ na.ī pyaas bharte rahe

    roz jin ke hirdai meñ utarte rahe

    ve sabhī din chitā lapaT par rakhe

    roz jalte hue āḳhirī ḳhat hue

    din divañgat hue

    shīsh par sūrya ko jo sambhāle rahe

    nain meñ jyotī diip baale rahe

    aur jin ke diloñ meñ ujāle rahe

    ab vahī din kisī raat bhūmī par

    ek girtī huī shaam chhat hue

    din divañgat hue

    jo abhī saath the haañ abhī haañ abhī

    ve ga.e to ga.e phir na lauTe kabhī

    hai pratikshā unhīñ hameñ aaj bhī

    din ki jo parān ke moh meñ band the

    aaj chorī ga.ī vo daulat hue

    din divañgat hue

    chāñdnī bhī hameñ dhuup ban kar milī

    rah ga.ī zindagī kalī adh-khilī

    ham jahāñ haiñ vahāñ roz dhartī hilī

    har taraf shor thā aur is shor meñ

    ye sadā ke liye maun varat hue

    din divañgat hue

    roz aansu bahe roz aahat hue

    raat ghayal hui din diwangat hue

    hum jinhen har ghaDi yaad karte rahe

    rikt man mein nai pyas bharte rahe

    roz jin ke hirdai mein utarte rahe

    we sabhi din chita ki lapaT par rakhe

    roz jalte hue aaKHiri KHat hue

    din diwangat hue

    shish par surya ko jo sambhaale rahe

    nain mein jyoti ka dip baale rahe

    aur jin ke dilon mein ujale rahe

    ab wahi din kisi raat ki bhumi par

    ek girti hui sham ki chhat hue

    din diwangat hue

    jo abhi sath the han abhi han abhi

    we gae to gae phir na lauTe kabhi

    hai pratiksha unhin ki hamein aaj bhi

    din ki jo paran ke moh mein band the

    aaj chori gai wo hi daulat hue

    din diwangat hue

    chandni bhi hamein dhup ban kar mili

    rah gai zindagi ki kali adh-khili

    hum jahan hain wahan roz dharti hili

    har taraf shor tha aur is shor mein

    ye sada ke liye maun ka warat hue

    din diwangat hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now