din gine jā chuke haiñ
kisī raat puure bhī ho jā.eñge
vo sabhī ḳhvāb
jo ham ne dekhe nahīñ the
churā.e the
ik adh-khulī aañkh se
ham ne dekhe hue ḳhvāb dekhe
ham ne biite hue ik badan ko dubāra jiyā
raat bhar piine vāloñ kī ulTī huī
us surāhī se Tapkī huī
qatra qatra sharāb halaq tak aa ga.ī
to khulā
zindagī talḳh hai
saañs lene kī qīmat adā karnā mumkin nahīñ
mustaqil aur hamesha ke chakkar meñ sar ghuum jā.egā duniyā kī juġhrāfiyā.ī hadoñ par
ulajhte hue jānvar ko ḳhabar hī nahīñ sab ulaT jā.egā falsafe se ulajhtī
huī khopaḌī meñ ubaltā huā ye dimāġh ek din bhak se uḌ jā.egā bhuuk aur
jinsiyat par maze lene vāloñ ko mā'lūm hai raushnī aur añdhere meñ kyā farq hai
din gine jā chuke haiñ raushnī ke añdhere ke ḳhvāboñ ke aur us badan ke jise ham
dubāra se jiine kī ḳhvāhish meñ zinda hue haiñ magar zindagī talḳh hai saañs lene
kī qīmat adā karnā mumkin nahīñ din gine jā chuke haiñ