din ke ujale ki koi haqiqat to raat ka andhera bhi wajud rakhta hai
din ke ujale ki koi haqiqat to raat ka andhera bhi wajud rakhta hai
Javed Nadeem
MORE BYJaved Nadeem
din ke ujāle kī koī haqīqat to raat kā añdherā bhī vajūd rakhtā hai
ham havā ko chhū nahīñ sakte havā hameñ chhūtī hai
maiñ agar tum se nafrat kartā huuñ to mere dil meñ tumhāre liye mohabbat
bhī hai
mohabbat aur nafrat donoñ hī zindagī haiñ
jis tarah raat aur din
āsā.ish agar zindagī hai to be-mā.egī aur masā.ib bhī
jāgnā zindagī hai to niiñd aur niiñd meñ ḳhvāboñ kā aanā bhī
samundar pahāḌ agar kā.enāt kā juz haiñ to hamāre dil kī dhaḌkaneñ bhī
paidā.ish zindagī hai to maut kā āḳhirī pal bhī
in sab chīzoñ ko kyā tum zindagī se alag kar sakte ho
zindagī meñ zindagī samā.ī huī hai
zindagī kabhī fanā nahīñ hotī
ye shakleñ badal kar tumhāre sāmne aa.egī
paidā.ish aur maut zindagī ke hī do naam haiñ
safar kī ibtidā-o-intihā
safar jo zindagī hai
aur zindagī kā.enāt kī dūsrī baḌī sachchā.ī
mauj andar mauj samundar kī tarah asrār-e-ḳhazā.in liye hue
tum agar is dūsrī baḌī sachchā.ī ko samajh sake
to
kā.enāt kī pahlī baḌī sachchā.ī tum par ḳhud-baḳhud āshkār ho jā.egī
din ke ujale ki koi haqiqat to raat ka andhera bhi wajud rakhta hai
hum hawa ko chhu nahin sakte hawa hamein chhuti hai
main agar tum se nafrat karta hun to mere dil mein tumhaare liye mohabbat
bhi hai
mohabbat aur nafrat donon hi zindagi hain
jis tarah raat aur din
aasaish agar zindagi hai to be-maegi aur masaib bhi
jagna zindagi hai to nind aur nind mein KHwabon ka aana bhi
samundar pahaD agar kaenat ka juz hain to hamare dil ki dhaDkanen bhi
paidaish zindagi hai to maut ka aaKHiri pal bhi
in sab chizon ko kya tum zindagi se alag kar sakte ho
zindagi mein zindagi samai hui hai
zindagi kabhi fana nahin hoti
ye shaklen badal kar tumhaare samne aaegi
paidaish aur maut zindagi ke hi do nam hain
safar ki ibtida-o-intiha
safar jo zindagi hai
aur zindagi kaenat ki dusri baDi sachchai
mauj andar mauj samundar ki tarah asrar-e-KHazain liye hue
tum agar is dusri baDi sachchai ko samajh sake
to
kaenat ki pahli baDi sachchai tum par KHud-baKHud aashkar ho jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.