din ki aankh mein kankar
jaane kitnī sadiyoñ se
chal rahī hai ye duniyā
manzileñ nahīñ hotīñ
sirf naam hote haiñ
aadmī nahīñ chalte
sirf saa.e hilte haiñ
sard suune kamroñ meñ
chyūñTiyoñ kī sūrat se
reñgte hue saa.e
ghaT rahe haiñ barsoñ se
kaash aisā ho jaa.e
saaf suthrā sā koī
āsmān mil jaa.e
kaise peḌ the jin kī
ThanDī chhāñv meñ ham ne
vaqt kuchh guzārā thā
ye zamīn apnī hai
āsmāñ hamārā hai
kitnī jhūTī bātoñ kā
bojh sar pe laadā thā
pyaas ik samundar hai
ḳhvāhishoñ ke jangal meñ
barf jam rahī thī ab
dhuup phir nikal aa.ī
zindagī to dhokā hai
vaqt hai na mauqa hai
din kī aañkh meñ kankar
sūrajoñ kī dhartī par
jā rahe haiñ zor-āvar
kaun jiit pā.egā
kaun haar jā.egā
ye sadāoñ ke patthar
terī rahguzāroñ meñ
kho ga.e haiñ jo lamhe
yaad tak nahīñ aate
vaqt hī nahīñ miltā
raat din ke pīchhe hai
TuuTe phūTe rastoñ par
kitnī duur tak chalte
thak ke so ga.e hoñge
log kho ga.e hoñge
kaun aa.egā chhoḌo
band kar lo darvāza
so ga.ī haiñ saḌkeñ bhī
kis tarah samā.egī
mere ghar meñ tanhā.ī
maiñ ne jeb meñ bhar lī
raushnī samundar kī
merī khoj meñ dhartī
har dishā meñ jā.egī
niiñd ke dhuñdalkoñ meñ
aañkh khulte tak yuuñ hī
intizār karnā hai
jaane kitni sadiyon se
chal rahi hai ye duniya
manzilen nahin hotin
sirf nam hote hain
aadmi nahin chalte
sirf sae hilte hain
sard sune kamron mein
chyunTiyon ki surat se
rengte hue sae
ghaT rahe hain barson se
kash aisa ho jae
saf suthra sa koi
aasman mil jae
kaise peD the jin ki
ThanDi chhanw mein hum ne
waqt kuchh guzara tha
ye zamin apni hai
aasman hamara hai
kitni jhuTi baaton ka
bojh sar pe lada tha
pyas ek samundar hai
KHwahishon ke jangal mein
barf jam rahi thi ab
dhup phir nikal aai
zindagi to dhoka hai
waqt hai na mauqa hai
din ki aankh mein kankar
surajon ki dharti par
ja rahe hain zor-awar
kaun jit paega
kaun haar jaega
ye sadaon ke patthar
teri rahguzaron mein
kho gae hain jo lamhe
yaad tak nahin aate
waqt hi nahin milta
raat din ke pichhe hai
TuTe phuTe raston par
kitni dur tak chalte
thak ke so gae honge
log kho gae honge
kaun aaega chhoDo
band kar lo darwaza
so gai hain saDken bhi
kis tarah samaegi
mere ghar mein tanhai
main ne jeb mein bhar li
raushni samundar ki
meri khoj mein dharti
har disha mein jaegi
nind ke dhundalkon mein
aankh khulte tak yun hi
intizar karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.