din phaila hai
bāñsurī kī dhun se chāval kī baalī tak
din phailā hai
aur darāñtī vaale haath meñ us kā dāman
jaise mallāhoñ ke haath meñ jaal ho
yā phir ghoḌ-savār ke haath meñ us kī rāseñ
din phailā hai
dahī bilone kī āvāz se jāmun ke peḌoñ tak
chūḌiyāñ pahanñe vaale haath meñ us kā dāman
khiñchte khiñchte oḌhnī ban jā.egā
din phailā hai
āsmān se bachche kī nannhī muTThī tak
rafta rafta duudh meñ Dhal jā.egā
din phailā hai
rail kī āhanī paTrī par
aur bhaag rahā hai chhoTe shahroñ kī manDī tak
bhāgte bhāgte surḳh anaar meñ Dhal jā.egā
din phailā hai
geñde ke phūloñ meñ
maile bachchoñ kī ḳhālī jeboñ meñ
din phailā hai
merī terī āñkhoñ meñ
jo rafta rafta mustaqbil kī dhun pe gaayā
ujle pāniyoñ jaisā koī
giit banegā
bansuri ki dhun se chawal ki baali tak
din phaila hai
aur daranti wale hath mein us ka daman
jaise mallahon ke hath mein jal ho
ya phir ghoD-sawar ke hath mein us ki rasen
din phaila hai
dahi bilone ki aawaz se jamun ke peDon tak
chuDiyan pahanne wale hath mein us ka daman
khinchte khinchte oDhni ban jaega
din phaila hai
aasman se bachche ki nannhi muTThi tak
rafta rafta dudh mein Dhal jaega
din phaila hai
rail ki aahani paTri par
aur bhag raha hai chhoTe shahron ki manDi tak
bhagte bhagte surKH anar mein Dhal jaega
din phaila hai
gende ke phulon mein
maile bachchon ki KHali jebon mein
din phaila hai
meri teri aankhon mein
jo rafta rafta mustaqbil ki dhun pe gaya
ujle paniyon jaisa koi
git banega
- Book : meyaar (Pg. 111)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.