dipawli
mirī sāñsoñ ko giit aur aatmā ko saaz detī hai
ye dīvālī hai sab ko jiine kā andāz detī hai
hirdai ke dvaar par rah rah ke detā hai koī dastak
barābar zindagī āvāz par āvāz detī hai
simaTtā hai añdherā paañv phailātī hai dīvālī
hañsā.e jaatī hai rajnī hañse jaatī hai dīvālī
qatāreñ dekhtā huuñ chalte-phirte māh-pāroñ kī
ghaTā.eñ āñchaloñ kī aur barkhā hai sitāroñ kī
vo kaale kaale gesū surḳh hoñT aur phuul se aariz
nagar meñ har taraf pariyāñ Tahaltī haiñ bahāroñ kī
nigāhoñ kā muqaddar aa ke chamkātī hai dīvālī
pahan kar dīp-mālā naaz farmātī hai dīvālī
ujāle kā zamāna hai ujāle kī javānī hai
ye hañstī jagmagātī raat sab rātoñ kī raanī hai
vahī duniyā hai lekin husn dekho aaj duniyā kā
hai jab tak raat baaqī kah nahīñ sakte ki faanī hai
vo jīvan aaj kī raat aa ke barsātī hai dīvālī
pasīna maut ke māthe pe chhalkātī hai dīvālī
sabhī ke diip sundar haiñ hamāre kyā tumhāre kyā
ujālā har taraf hai is kināre us kināre kyā
gagan kī jagmagāhaT paḌ ga.ī hai aaj maddham kyuuñ
muñDeroñ aur chhajjoñ par utar aa.e haiñ taare kyā
hazāroñ saal guzre phir bhī jab aatī hai dīvālī
mahal ho chāhe kuTiyā sab pe chhā jaatī hai dīvālī
isī din darupadī ne krishn ko bhaa.ī banāyā thā
vachan ke dene vaale ne vachan apnā nibhāyā thā
janam din laxmī kā hai bhalā is din kā kyā kahnā
yahī vo din hai jis ne raam ko raaja banāyā thā
ka.ī itihās ko ek saath dohrātī hai dīvālī
mohabbat par vijay ke phuul barsātī hai dīvālī
gale meñ haar phūloñ kā charan meñ dīp-mālā.eñ
mukuT sar par hai mukh par zindagī kī rūp-rekhā.eñ
liye haiñ kar meñ mañgal-ghaT na kyuuñ ghaT ghaT pe chhā jaa.eñ
agar partav paḌe murda-diloñ par vo bhī jī jaa.eñ
ajab andāz se rah rah ke muskātī hai dīvālī
mohabbat kī lahar nas nas meñ dauḌātī hai dīvālī
tumhārā huuñ tum apnī baat mujh se kyuuñ chhupāte ho
mujhe ma.alūm hai jis ke liye chakkar lagāte ho
banaras ke ho tum ko chāhiye tyauhār ghar karnā
butoñ ko chhoḌ kar tum kyuuñ allahabad jaate ho
na jaao aise meñ bāhar 'nazīr' aatī hai dīvālī
ye kāshī hai yahīñ to rañg dikhlātī hai dīvālī
meri sanson ko git aur aatma ko saz deti hai
ye diwali hai sab ko jine ka andaz deti hai
hirdai ke dwar par rah rah ke deta hai koi dastak
barabar zindagi aawaz par aawaz deti hai
simaTta hai andhera panw phailati hai diwali
hansae jati hai rajni hanse jati hai diwali
qataren dekhta hun chalte-phirte mah-paron ki
ghaTaen aanchalon ki aur barkha hai sitaron ki
wo kale kale gesu surKH honT aur phul se aariz
nagar mein har taraf pariyan Tahalti hain bahaaron ki
nigahon ka muqaddar aa ke chamkati hai diwali
pahan kar dip-mala naz farmati hai diwali
ujale ka zamana hai ujale ki jawani hai
ye hansti jagmagati raat sab raaton ki rani hai
wahi duniya hai lekin husn dekho aaj duniya ka
hai jab tak raat baqi kah nahin sakte ki fani hai
wo jiwan aaj ki raat aa ke barsati hai diwali
pasina maut ke mathe pe chhalkati hai diwali
sabhi ke dip sundar hain hamare kya tumhaare kya
ujala har taraf hai is kinare us kinare kya
gagan ki jagmagahaT paD gai hai aaj maddham kyun
munDeron aur chhajjon par utar aae hain tare kya
hazaron sal guzre phir bhi jab aati hai diwali
mahal ho chahe kuTiya sab pe chha jati hai diwali
isi din darupadi ne krishn ko bhai banaya tha
wachan ke dene wale ne wachan apna nibhaya tha
janam din laxmi ka hai bhala is din ka kya kahna
yahi wo din hai jis ne ram ko raja banaya tha
kai itihas ko ek sath dohraati hai diwali
mohabbat par wijay ke phul barsati hai diwali
gale mein haar phulon ka charan mein dip-malaen
mukuT sar par hai mukh par zindagi ki rup-rekhaen
liye hain kar mein mangal-ghaT na kyun ghaT ghaT pe chha jaen
agar partaw paDe murda-dilon par wo bhi ji jaen
ajab andaz se rah rah ke muskati hai diwali
mohabbat ki lahar nas nas mein dauDati hai diwali
tumhaara hun tum apni baat mujh se kyun chhupate ho
mujhe malum hai jis ke liye chakkar lagate ho
banaras ke ho tum ko chahiye tyauhaar ghar karna
buton ko chhoD kar tum kyun allahabad jate ho
na jao aise mein bahar 'nazir' aati hai diwali
ye kashi hai yahin to rang dikhlati hai diwali
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 386)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.