diya
phir ye achānak
bijlī battī fail huī
har-sū zulmat phail ga.ī
bāzāroñ meñ dūkānoñ meñ
ghar ke andar ghar ke bāhar
ghor añdherā lahrāyā
jaane kab tak raushnī ye phir aa.egī
māchis laao
diyā jalāo
vahī diyā
bijlī ke bal-būte par
jis ko ham ne Thukrāyā
vahī diyā
phir kaam aaya
phir ye achanak
bijli batti fail hui
har-su zulmat phail gai
bazaron mein dukanon mein
ghar ke andar ghar ke bahar
ghor andhera lahraya
jaane kab tak raushni ye phir aaegi
machis lao
diya jalao
wahi diya
bijli ke bal-bute par
jis ko hum ne Thukraya
wahi diya
phir kaam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.