diyanat-dar laDki
ġharīb aadmī ek qasbe meñ thā
bahut dil meñ rakhtā thā ḳhauf-e-ḳhudā
ġharībī meñ īmān-dārī meñ bhī
na qasbe meñ thā us se baḌh kar koī
akelā na thā biivī bachche bhī the
jo the sab ke sab nek ḳhaslat baḌe
suhānā samāñ din thā itvār kā
ki ik chhoTī laḌkī se maañ ne kahā
uTho laao aaTā ki roTī pakā.ūñ
bilakte haiñ bachche inheñ kuchh khilā.ūñ
ga.ī laḌkī aaTā liyā aa ga.ī
lagī gūñdhne maañ to ghabrā ga.ī
ki aaTe meñ do bāliyāñ thiiñ paḌī
har ik sabz kāġhaz meñ lipTī huī
khare sone kī kaam bārīk thā
vo thiiñ dekhne meñ bahut ḳhushnumā
jo laḌkī ne dekhīñ to jhaT bol uThī
yaqīnan ye hoñgī dukāñ-dār kī
abhī dījiye kar duuñ vāpas ise
ye aaTe meñ rakkhī ga.iiñ bhuul se
dukāñ-dār ke paas laḌkī ga.ī
kahā ye to haiñ bāliyāñ aap kī
milī haiñ ye aaTe se le lījiye
ki borī meñ shāyad girīñ aap se
dukāñ-dār bolā uThā lo tumhīñ
suno in kā qissa ye merī nahīñ
yahāñ ek aayā amiir aadmī
mujhe bāliyāñ diiñ hidāyat ye kī
ye denā kisī saḳht muhtāj ko
diyānat meñ bhī sab se baḌh kar jo ho
ye bāteñ tumhīñ meñ haiñ lo bas uThāo
tumhārī haiñ ye bāliyāñ le bhī jaao
ghar aa.ī jo laḌkī liye bāliyāñ
sunā qissa hairāñ huī saḳht maañ
diyānat se hotā hai raazī ḳhudā
diyānat kā laḌkī ko ye phal milā
gharib aadmi ek qasbe mein tha
bahut dil mein rakhta tha KHauf-e-KHuda
gharibi mein iman-dari mein bhi
na qasbe mein tha us se baDh kar koi
akela na tha biwi bachche bhi the
jo the sab ke sab nek KHaslat baDe
suhana saman din tha itwar ka
ki ek chhoTi laDki se man ne kaha
uTho lao aaTa ki roTi pakaun
bilakte hain bachche inhen kuchh khilaun
gai laDki aaTa liya aa gai
lagi gundhne man to ghabra gai
ki aaTe mein do baaliyan thin paDi
har ek sabz kaghaz mein lipTi hui
khare sone ki kaam barik tha
wo thin dekhne mein bahut KHushnuma
jo laDki ne dekhin to jhaT bol uThi
yaqinan ye hongi dukan-dar ki
abhi dijiye kar dun wapas ise
ye aaTe mein rakkhi gain bhul se
dukan-dar ke pas laDki gai
kaha ye to hain baaliyan aap ki
mili hain ye aaTe se le lijiye
ki bori mein shayad girin aap se
dukan-dar bola uTha lo tumhin
suno in ka qissa ye meri nahin
yahan ek aaya amir aadmi
mujhe baaliyan din hidayat ye ki
ye dena kisi saKHt muhtaj ko
diyanat mein bhi sab se baDh kar jo ho
ye baaten tumhin mein hain lo bas uThao
tumhaari hain ye baaliyan le bhi jao
ghar aai jo laDki liye baaliyan
suna qissa hairan hui saKHt man
diyanat se hota hai raazi KHuda
diyanat ka laDki ko ye phal mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.