diye jalte rahen
dil ye kahtā hai
ki ham chāhatoñ kā
ek aisā nagar basā.eñ
jahāñ mohabbatoñ ko zavāl na ho
vasl firāq meñ na badle
ḳhizāñ bahār ke jaane kā
sandesa na sunā.e
aur raat kī zulmat
raushniyoñ ko na nigle
aur hamārī ārzūoñ ke
diye hamesha jalte raheñ
dil ye kahta hai
ki hum chahaton ka
ek aisa nagar basaen
jahan mohabbaton ko zawal na ho
wasl firaq mein na badle
KHizan bahaar ke jaane ka
sandesa na sunae
aur raat ki zulmat
raushniyon ko na nigle
aur hamari aarzuon ke
diye hamesha jalte rahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.