diye ki lau
diye kī lau thartharā rahī hai
ye shām-e-ġham hai ki āfatoñ kī sahar huī hai
fasīl-e-shab par udaas jugnū
kisī musāfir kī raah tak kar
luTā chukā hai tamām raushan bahār apnī
parinde uḌne ko muztarib haiñ
maveshī-ḳhānoñ meñ phir machī hai ajiib halchal
jo bachche maaoñ kī chhātiyoñ se
lipaT ke so.e the jaag uThe haiñ
vahī taḌap bhuuk kī vo shiddat
azaan sehn-e-chaman meñ detā hai murġh aise
kisī ko jaise koī fasāna sunā rahā hai
uTho añdherā bahut hai lekin
charāġh le kar talāsh karnā hai tum ko sūraj
diye kī lau thartharā rahī hai
diye ki lau tharthara rahi hai
ye sham-e-gham hai ki aafaton ki sahar hui hai
fasil-e-shab par udas jugnu
kisi musafir ki rah tak kar
luTa chuka hai tamam raushan bahaar apni
parinde uDne ko muztarib hain
maweshi-KHanon mein phir machi hai ajib halchal
jo bachche maon ki chhatiyon se
lipaT ke soe the jag uThe hain
wahi taDap bhuk ki wo shiddat
azan sehn-e-chaman mein deta hai murgh aise
kisi ko jaise koi fasana suna raha hai
uTho andhera bahut hai lekin
charagh le kar talash karna hai tum ko suraj
diye ki lau tharthara rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.