do-aba bast jalandhar
ai vatan ai lahlahātī khetoñ kī sar-e-zamīñ
ai nagīn-e-ḳhātim-e-punjab ai arz-e-hasīñ
suur bīroñ sūrmāoñ pahalvānoñ ke vatan
mehnatī bandoñ jiyāloñ ke kisānoñ ke vatan
tū janmdātā bhagat-singh aur sharaddhā-nand kā
madrasa tū sūfiyoñ santoñ ke va.az-o-pand kā
rai-zādoñ aur sardāroñ kī ḳhāk-e-pāk tū
shā.irān-e-ḳhush-bayāñ kā marja-e-idrāk tū
kitne mausīqār kitne shā.erān-e-ḳhush-navā
māhir-e-tālīm kitne aur kitne rahnumā
terī ḳhāk-e-pāk se uThe haiñ kitne nek naam
āsmān-e-auj par jin ko milā ūñchā maqām
kitne mardān-e-jarī kitne javānān-e-ġhayūr
kitne sāheb-e-aql kitne mālik-e-fahm-o-shu.ūr
zindagī kī Doltī kashtī ke kitne nāḳhudā
kitne mardān-e-haqīqat kosh kitne bā-ḳhudā
ġhairat-e-bāġh-e-iram haiñ khetiyāñ har gaañv meñ
ḳhuld kā ārām hai peḌoñ kī ThanDī chhāñv meñ
zaad būm-e-arsh rif.at-āshnā terī ḳhaak
'josh' ke ḳhurshīd-e-ma.anī kī ziyā se tābnāk
maiñ ne un rāhoñ meñ dekhī haiñ bahut nairañgiyāñ
Dholakoñ ke zer-o-bam chimToñ kī ḳhush-āhañgiyāñ
haiñ kahīñ sarsoñ kahīñ gehūñ kahīñ ganne ke khet
hai kahīñ chāñdī sā paanī kahīñ sone sī ret
ik taraf chalte haiñ hal ik samt chalte haiñ ḳharrās
itnī mehnat aur lab par naġhma-e-shukr-o-sipās
gosha gosha terā nūr-e-ilm se ma.amūr hai
zarra zarra hāmil-e-nūr-e-charāġh-e-tūr hai
terī punjabi zabāñ meñ lutf-e-shahd-o-qand hai
is qadar saada ki har rāh-e-takalluf band hai
sabt hai duniyā pe terā sikka-e-farzāñgī
ilm kī ḳhātir dikhā.ī tū ne vo dīvāngī
jis jagah se bhī milā hai mujh ko jo har tujh meñ hai
'malsiyāñ' tujh meñ 'nakodar' tujh meñ 'shañkar' tujh meñ hai
'malsiyāñ' kī ḳhaak se uThā 'nakodar' meñ palā
bārhā maiñ vālihānā āzim-e-'shañkar' huā
uf vo mele chaukiyoñ ke uf vo mīThī boliyāñ
yaad haiñ ab tak mujhe vo sar-phiroñ kī Toliyāñ
vo zamāna jin dinoñ khaḌkā basantā the javāñ
maiñ yahāñ har saal aa kar dekhtā thā kashtiyāñ
ik taraf mele meñ hotā pahalvānoñ kā hujūm
dūsrī jānib yahāñ shatranj kī machtī thī dhuum
chhinj kā melā bhī thā shatranj kā melā bhī thā
shātirī meñ fard chhajju-rām se khelā bhī thā
savarn-singh is ḳhaak kā beTā hai ham-maktab mirā
ahd-e-tiflī meñ thā jo ham-rāz-o-ham-mashrāb mirā
faḳhr-e-shañkar haiñ rulā-rām aur mathurā-dās bhī
qābil-e-izzat narindar-singh se syaas bhī
pahalvānoñ meñ hai pur-tāzīm 'girdāvar' kā naam
shātiroñ meñ hasan-lāl ik shātir-e-ālī-e-maqām
assalām ai bast jālandhar do-ābe kī zamīñ
haiñ do-ābe to bahut tujh sā magar koī nahīñ
ai watan ai lahlahati kheton ki sar-e-zamin
ai nagin-e-KHatim-e-punjab ai arz-e-hasin
sur biron surmaon pahalwanon ke watan
mehnati bandon jiyalon ke kisanon ke watan
tu janmdata bhagat-singh aur sharaddha-nand ka
madrasa tu sufiyon santon ke waz-o-pand ka
rai-zadon aur sardaron ki KHak-e-pak tu
shairan-e-KHush-bayan ka marja-e-idrak tu
kitne mausiqar kitne shaeran-e-KHush-nawa
mahir-e-talim kitne aur kitne rahnuma
teri KHak-e-pak se uThe hain kitne nek nam
aasman-e-auj par jin ko mila uncha maqam
kitne mardan-e-jari kitne jawanan-e-ghayur
kitne saheb-e-aql kitne malik-e-fahm-o-shuur
zindagi ki Dolti kashti ke kitne naKHuda
kitne mardan-e-haqiqat kosh kitne ba-KHuda
ghairat-e-bagh-e-iram hain khetiyan har ganw mein
KHuld ka aaram hai peDon ki ThanDi chhanw mein
zad bum-e-arsh rifat-ashna teri KHak
'josh' ke KHurshid-e-mani ki ziya se tabnak
main ne un rahon mein dekhi hain bahut nairangiyan
Dholakon ke zer-o-bam chimTon ki KHush-ahangiyan
hain kahin sarson kahin gehun kahin ganne ke khet
hai kahin chandi sa pani kahin sone si ret
ek taraf chalte hain hal ek samt chalte hain KHarras
itni mehnat aur lab par naghma-e-shukr-o-sipas
gosha gosha tera nur-e-ilm se mamur hai
zarra zarra hamil-e-nur-e-charagh-e-tur hai
teri punjabi zaban mein lutf-e-shahd-o-qand hai
is qadar sada ki har rah-e-takalluf band hai
sabt hai duniya pe tera sikka-e-farzangi
ilm ki KHatir dikhai tu ne wo diwangi
jis jagah se bhi mila hai mujh ko jo har tujh mein hai
'malsiyan' tujh mein 'nakodar' tujh mein 'shankar' tujh mein hai
'malsiyan' ki KHak se uTha 'nakodar' mein pala
barha main walihana aazim-e-'shankar' hua
uf wo mele chaukiyon ke uf wo miThi boliyan
yaad hain ab tak mujhe wo sar-phiron ki Toliyan
wo zamana jin dinon khaDka basanta the jawan
main yahan har sal aa kar dekhta tha kashtiyan
ek taraf mele mein hota pahalwanon ka hujum
dusri jaanib yahan shatranj ki machti thi dhum
chhinj ka mela bhi tha shatranj ka mela bhi tha
shatiri mein fard chhajju-ram se khela bhi tha
sawarn-singh is KHak ka beTa hai ham-maktab mera
ahd-e-tifli mein tha jo ham-raaz-o-ham-mashrab mera
faKHr-e-shankar hain rula-ram aur mathura-das bhi
qabil-e-izzat narindar-singh se syas bhi
pahalwanon mein hai pur-tazim 'girdawar' ka nam
shatiron mein hasan-lal ek shatir-e-ali-e-maqam
assalam ai bast jalandhar do-abe ki zamin
hain do-abe to bahut tujh sa magar koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.