do aalam
ik bharpūr mukammal pan
yak jaanī ġhusl aur nāshta
dhobī dhule hue kapḌe be polish boot
saḌkeñ ābādī tanhā.ī
ḳhabreñ sher āvāzeñ rañg
masāfat sabza peḌ pahāḌ aur paanī
nañge pair aur sat.h kī hairānī dil kī gahrā.ī
tanhā.ī kā sukūn aur
tanhā.ī kī vahshat
ik bharpūr mukammal pan
yak-jānī yaktā.ī
raat kā khānā sair
aur haat meñ haat
aur vaqt kī tezī
siine sile hue
ḳhunkī meñ hiddat
garmī meñ kuchh aur bhī achchhī hiddat
ḳhvāb bahāo saarā aalam
jāgte jāgte sonā sote sote
jāgte rahnā yak taa.ī yak jaanī
paanī dariyā paanī gahrā sabz samundar
jis meñ tan Dūbeñ tanhā.ī nikle
shah-e-rag se nazdīk ragoñ meñ ravāñ
siine kī saañs lahū kī surḳhī
aañkh kī bīnā.ī yak taa.ī
yak jaanī bharpūr mukammal-pan
tanhā.ī
tanhā.ī
ek bharpur mukammal pan
yak jaani ghusl aur nashta
dhobi dhule hue kapDe be polish boot
saDken aabaadi tanhai
KHabren sher aawazen rang
masafat sabza peD pahaD aur pani
nange pair aur sath ki hairani dil ki gahrai
tanhai ka sukun aur
tanhai ki wahshat
ek bharpur mukammal pan
yak-jaani yaktai
raat ka khana sair
aur hat mein hat
aur waqt ki tezi
sine sile hue
KHunki mein hiddat
garmi mein kuchh aur bhi achchhi hiddat
KHwab bahao sara aalam
jagte jagte sona sote sote
jagte rahna yak tai yak jaani
pani dariya pani gahra sabz samundar
jis mein tan Duben tanhai nikle
shah-e-rag se nazdik ragon mein rawan
sine ki sans lahu ki surKHi
aankh ki binai yak tai
yak jaani bharpur mukammal-pan
tanhai
tanhai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 151)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.