do ajnabi
aaj bhī sub.h se nikle the kahīñ
koī ummīd koī aas nahīñ
koī va.ada koī iqrār nahīñ
kaun jaane ki kahāñ jaate ho
roz aate ho chale aate ho
ajnabī des hai pardesī ho
koī rishta koī naata bhī nahīñ
koī apnā yā parāyā bhī nahīñ
naukrī yā kisī dhande ke liye
koī netā yā koī afsar hai
koī fan koī hunar aatā hai
dast-kārī yā koī kaam nahīñ
ghar se kuchh saath meñ laa.e hoge
ḳharch ke vāste kuchh daam nahīñ
jaane kis aas pe tum jiite ho
jaane tum khāte ho kyā piite ho
aaj bhī sub.h se bhūke hoge
nāshta chaa.e yā kuchh aur nahīñ
aaj bhi subh se nikle the kahin
koi ummid koi aas nahin
koi wada koi iqrar nahin
kaun jaane ki kahan jate ho
roz aate ho chale aate ho
ajnabi des hai pardesi ho
koi rishta koi nata bhi nahin
koi apna ya paraya bhi nahin
naukri ya kisi dhande ke liye
koi neta ya koi afsar hai
koi fan koi hunar aata hai
dast-kari ya koi kaam nahin
ghar se kuchh sath mein lae hoge
KHarch ke waste kuchh dam nahin
jaane kis aas pe tum jite ho
jaane tum khate ho kya pite ho
aaj bhi subh se bhuke hoge
nashta chae ya kuchh aur nahin
- Book : Awaz Na Do (Pg. 54)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.