do charagh
tīrgī ke siyāh-ġhāroñ se
shahparoñ kī sadā.eñ aatī haiñ
le ke jhoñkoñ kī tez talvāreñ
ThanDī ThanDī havā.eñ aatī haiñ
barf ne jin pe dhaar rakkhī hai
ek mailī dukān tiira o taar
ik charāġh aur ek doshīza
ye bujhī sī hai vo udaas sā hai
donoñ jāḌoñ kī lambī rātoñ meñ
tīrgī aur havā se laḌte haiñ
tīrgī uTh rahī hai maidāñ se
fauj-dar-fauj bādaloñ kī tarah
aur havāoñ ke haath haiñ gustāḳh
toḌe lete haiñ nanhe shole ko
noche lete haiñ maile āñchal ko
laḌkī rah rah ke jism Dhāñptī hai
shola rah rah ke thar tharātā hai
nañgī būḌhī zamīn kāñptī hai
tīrgī ab siyah-samundar hai
aur havā ho ga.ī hai dīvānī
yā to donoñ charāġh gul hoñge
yā kareñge vo shola-afshānī
phūñk Dāleñge tīrgī kī matā
par mujhe e'timād hai in par
go ġharīb aur be-zabān se haiñ
donoñ haiñ aag donoñ haiñ shola
donoñ bijlī ke ḳhāndān se haiñ
tirgi ke siyah-ghaaron se
shahparon ki sadaen aati hain
le ke jhonkon ki tez talwaren
ThanDi ThanDi hawaen aati hain
barf ne jin pe dhaar rakkhi hai
ek maili dukan tera o tar
ek charagh aur ek doshiza
ye bujhi si hai wo udas sa hai
donon jaDon ki lambi raaton mein
tirgi aur hawa se laDte hain
tirgi uTh rahi hai maidan se
fauj-dar-fauj baadalon ki tarah
aur hawaon ke hath hain gustaKH
toDe lete hain nanhe shole ko
noche lete hain maile aanchal ko
laDki rah rah ke jism Dhanpti hai
shola rah rah ke thar tharaata hai
nangi buDhi zamin kanpti hai
tirgi ab siyah-samundar hai
aur hawa ho gai hai diwani
ya to donon charagh gul honge
ya karenge wo shola-afshani
phunk Dalenge tirgi ki mata
par mujhe e'timad hai in par
go gharib aur be-zaban se hain
donon hain aag donon hain shola
donon bijli ke KHandan se hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.