do gadhe
jā rahe the do gadhe ek raah se
apnī nādānī pe vo nāzāñ hue
rāsta gum thā ġhubār-o-gard se
jā rahe the gaDariye bheḌeñ liye
sochte jaate the kuchh donoñ gadhe
rāsta tai kar rahe the sochte
aage vaalā dil se yuuñ goyā huā
pīchhe jo aatā hai mere ye gadhā
rahnumā.ī kar rahā huuñ us kī maiñ
bādshāhī kar rahā huuñ sab kī maiñ
mujh se baḌh saktā hai kyā ye bhī kahīñ
nāḳhudā huuñ aaj maiñ hī bil-yaqīn
dūsrā bhī jā rahā thā sochtā
huuñ shahanshāh aaj apne vaqt kā
sāmne jaatā hai jo vo hai ġhulām
kar rahā hai aage aage intizām
pīchhe aatā hai mire lashkar tamām
hai hukūmat kā mere dam se nizām
aaj maiñ hī qāfila-sālār huuñ
aur saarī fauj kā sardār huuñ
the ġharaz donoñ usī dhun meñ lage
dekhte hargiz na the vo sāmne
rāsta bhaTke hue the vo magar
jā rahe the phir bhī be-ḳhauf-o-ḳhatar
rāste meñ un ke aayā ik kuaañ
us kī hai.at hī se thī vahshat ayaañ
dham se vo donoñ gadhe us meñ gire
aur girte hī vo donoñ mar ga.e
hosh meñ jo bevaqūf aate nahīñ
aql ko jo kaam meñ laate nahīñ
haal un kā hai gadhoñ se bhī saqīm
vo sazā paate haiñ aisī hī yatīm
honhāro in gadhoñ se daras lo
chhoḌ do sheḳhī ko kaam apnā karo
ja rahe the do gadhe ek rah se
apni nadani pe wo nazan hue
rasta gum tha ghubar-o-gard se
ja rahe the gaDariye bheDen liye
sochte jate the kuchh donon gadhe
rasta tai kar rahe the sochte
aage wala dil se yun goya hua
pichhe jo aata hai mere ye gadha
rahnumai kar raha hun us ki main
baadshahi kar raha hun sab ki main
mujh se baDh sakta hai kya ye bhi kahin
naKHuda hun aaj main hi bil-yaqin
dusra bhi ja raha tha sochta
hun shahanshah aaj apne waqt ka
samne jata hai jo wo hai ghulam
kar raha hai aage aage intizam
pichhe aata hai mere lashkar tamam
hai hukumat ka mere dam se nizam
aaj main hi qafila-salar hun
aur sari fauj ka sardar hun
the gharaz donon usi dhun mein lage
dekhte hargiz na the wo samne
rasta bhaTke hue the wo magar
ja rahe the phir bhi be-KHauf-o-KHatar
raste mein un ke aaya ek kuan
us ki haiat hi se thi wahshat ayan
dham se wo donon gadhe us mein gire
aur girte hi wo donon mar gae
hosh mein jo bewaquf aate nahin
aql ko jo kaam mein late nahin
haal un ka hai gadhon se bhi saqim
wo saza pate hain aisi hi yatim
honhaaro in gadhon se daras lo
chhoD do sheKHi ko kaam apna karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.