do hath
maut har raat dastakeñ de kar
lauT jaatī hai merī chaukhaT se
in dinoñ āftāb kī kirneñ
phīkī phīkī sī lagtī haiñ yaaro
āñkheñ pathrā ga.iiñ haiñ tāroñ kī
chāñdnī bhī udaas rahtī hai
le gayā hai churā ke āḳhir kaun
zindagī kī tamām rā'nā.ī
in dinoñ zindagī kī sarhad par
maut se jang laḌ rahā huuñ maiñ
maut jis ke haiñ an-ginat panje
aur do haath zindagī ke paas
phir bhī jahd-o-‘amal kī duniyā meñ
apnī qismat se laḌ rahā huuñ maiñ
maut har raat dastaken de kar
lauT jati hai meri chaukhaT se
in dinon aaftab ki kirnen
phiki phiki si lagti hain yaro
aankhen pathra gain hain taron ki
chandni bhi udas rahti hai
le gaya hai chura ke aaKHir kaun
zindagi ki tamam ra'nai
in dinon zindagi ki sarhad par
maut se jang laD raha hun main
maut jis ke hain an-ginat panje
aur do hath zindagi ke pas
phir bhi jahd-o-‘amal ki duniya mein
apni qismat se laD raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.