do kirnen
terī yādoñ kī ye baḳhshī huī alhaḌ ḳhushbū
dil ke vīrāne meñ is tarah se dar aatī hai
jaise bosīda maqābir meñ ujāle kī kiran
toḌ kar halqa-e-zulmāt ko lahrātī hai
tujh se pahle bhī kisī ajnabī raahī ne yahāñ
dil-e-betāb ko ḳhushbū kā sitam baḳhshā thā
phuul se hoñToñ ne zaḳhmoñ ke dahan khole the
nīm-ḳhvābīda nigāhoñ ne vo ġham baḳhshā thā
aaj tak jis ko liye gardish-e-lamhāt ke saath
rāh-guzāroñ pe bhaTaktā huuñ bagūloñ kī tarah
is tamannā meñ ki kaT jā.egī ye dard kī raat
sochtā huuñ tere ma.asūm tabassum kī kiran
ban bhī saktī hai kabhī āḳhir-e-shab kā paiġhām
teri yaadon ki ye baKHshi hui alhaD KHushbu
dil ke virane mein is tarah se dar aati hai
jaise bosida maqabir mein ujale ki kiran
toD kar halqa-e-zulmat ko lahraati hai
tujh se pahle bhi kisi ajnabi rahi ne yahan
dil-e-betab ko KHushbu ka sitam baKHsha tha
phul se honTon ne zaKHmon ke dahan khole the
nim-KHwabida nigahon ne wo gham baKHsha tha
aaj tak jis ko liye gardish-e-lamhat ke sath
rah-guzaron pe bhaTakta hun bagulon ki tarah
is tamanna mein ki kaT jaegi ye dard ki raat
sochta hun tere masum tabassum ki kiran
ban bhi sakti hai kabhi aaKHir-e-shab ka paigham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.