do october
do october ke din kā
sūraj kitnā zālim thā
jab vo niklā
najm-e-sahar hī Duub gayā
najm-e-sahar vo jis ne ik din
mujh ko raah dikhā.ī thī
jīvan kī pagDanDī par
chalte rahne kī ummīd dilā.ī thī
do october kā vo din
kitnā bhayānak lagtā thā
ḳhuun kī āñdhī le kar aayā
mere dil ke kamre meñ
raushan thā jo ek charāġh
ek hī jhoñke se gul ho kar
chhoḌ gayā thā
siine kī dīvār pe kaisā gahrā daaġh
do october ke din ka
suraj kitna zalim tha
jab wo nikla
najm-e-sahar hi Dub gaya
najm-e-sahar wo jis ne ek din
mujh ko rah dikhai thi
jiwan ki pagDanDi par
chalte rahne ki ummid dilai thi
do october ka wo din
kitna bhayanak lagta tha
KHun ki aandhi le kar aaya
mere dil ke kamre mein
raushan tha jo ek charagh
ek hi jhonke se gul ho kar
chhoD gaya tha
sine ki diwar pe kaisa gahra dagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.