do or die
ga.e zamānoñ kī gardishoñ ko maiñ aañkh kī putliyoñ meñ rakkhūñ
maiñ kab talak hone aur na hone ke darmiyāñ kī aziyyatoñ kī ḳharāsh
apne badan pe dekhūñ
maiñ kis liye baam par sajā.ūñ kuñvārī sharmīlī dhaḌkaneñ ab
maiñ kaise apne laboñ kī ḳhushbū kā baar le kar sanobaroñ kā samāñ banā.ūñ
maiñ kis liye rādhā ban ke nāchūñ to shaam murlī ke giit gā.ūñ
kahāñ kā sāvan kahāñ kī chatrī kahāñ ke dohe kahāñ kī purvā
maiñ saat rangoñ ko kis pe pheñkūñ
maiñ majlisoñ meñ kis hasīn ke nauhe gā.ūñ
maiñ mausamoñ ke surāġh le kar haqīqatoñ ko kahāñ tak shā.irī meñ Dhālūñ
mire azīzo safar hai thoḌā to rog zyāda
balā se koī na aa.e ab intizār muk gayā hai
havā.eñ kal kī kahāniyoñ ko sajā rahī haiñ
maiñ tez-tar aur jadīd ohdoñ meñ jī rahī huuñ
maiñ aaj huuñ aur aaj ban ke bikhar rahī huuñ har ek samt
merā hai kalima do or die
gae zamanon ki gardishon ko main aankh ki putliyon mein rakkhun
main kab talak hone aur na hone ke darmiyan ki aziyyaton ki KHarash
apne badan pe dekhun
main kis liye baam par sajaun kunwari sharmili dhaDkanen ab
main kaise apne labon ki KHushbu ka bar le kar sanobaron ka saman banaun
main kis liye radha ban ke nachun to sham murli ke git gaun
kahan ka sawan kahan ki chatri kahan ke dohe kahan ki purwa
main sat rangon ko kis pe phenkun
main majlison mein kis hasin ke nauhe gaun
main mausamon ke suragh le kar haqiqaton ko kahan tak shairi mein Dhaalun
mere azizo safar hai thoDa to rog zyaada
bala se koi na aae ab intizar muk gaya hai
hawaen kal ki kahaniyon ko saja rahi hain
main tez-tar aur jadid ohdon mein ji rahi hun
main aaj hun aur aaj ban ke bikhar rahi hun har ek samt
mera hai kalima do or die
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.