doctor aKHtar husain rae puri
ik kahkashāñ sajī thī kabhī āsmān par
is kahkashāñ ke saare sitāre bikhar ga.e
ḳhvāboñ ke saath saath nazāre bikhar ga.e
pechīda-tar masā.il-e-shab.hā-e-zīst haiñ
mīnār raushnī ke dhuñdalkoñ meñ kho ga.e
muḌ kar jo dekhā vaqt ko patthar ke ho ga.e
ab kārvāñ ko samt-e-safar kā hai marhala
sab sang-e-mīl rāh-e-vafā ke ukhaḌ ga.e
tārīḳh kī Dagar ke musāfir bichhaḌ ga.e
taptī huī zamīn shu.ūr-e-hayāt hai
pīpal kī chhāñv dard kā sūraj nigal gayā
bargad kā koī peḌ chaman meñ nahīñ rahā
ḳhūn-e-jigar se harf kā chehra damak uThe
ab fan kī sarhadoñ kā ta.ayyun kare koī
dāmān-e-zindagī ko muzayyan kare koī
me.ār-o-e'tibār-e-adab tīrgī meñ hai
hai shahr-e-fikr der se shab kī panāh meñ
zarrāt-e-nūr dhūñDiye ab gard-e-rāh meñ
ek kahkashan saji thi kabhi aasman par
is kahkashan ke sare sitare bikhar gae
KHwabon ke sath sath nazare bikhar gae
pechida-tar masail-e-shabha-e-zist hain
minar raushni ke dhundalkon mein kho gae
muD kar jo dekha waqt ko patthar ke ho gae
ab karwan ko samt-e-safar ka hai marhala
sab sang-e-mil rah-e-wafa ke ukhaD gae
tariKH ki Dagar ke musafir bichhaD gae
tapti hui zamin shuur-e-hayat hai
pipal ki chhanw dard ka suraj nigal gaya
bargad ka koi peD chaman mein nahin raha
KHun-e-jigar se harf ka chehra damak uThe
ab fan ki sarhadon ka tayyun kare koi
daman-e-zindagi ko muzayyan kare koi
mear-o-e'tibar-e-adab tirgi mein hai
hai shahr-e-fikr der se shab ki panah mein
zarraat-e-nur dhunDiye ab gard-e-rah mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.