dodge-mahal
Interesting Fact
With apologies to Sahir Ludhiyanvi
dodge ke naam se jānāñ tujhe ulfat hī sahī
dodge hotel se tujhe ḳhaas aqīdat hī sahī
us kī chaa.e se chikan soup se raġhbat hī sahī
dodge karnā bhī azal se tirī aadat hī sahī
tū mirī jaan kahīñ aur milā kar mujh se
qais o lailā bhī to karte the mohabbat lekin
ishq-bāzī ke liye dasht ko apnāte the
ham hī ahmaq haiñ jo hotel meñ chale aate haiñ
vo samajhdār the jañgal ko nikal jaate the
tū mirī jaan kahīñ aur milā kar mujh se
kaash is marmarīñ hotel ke baḌe matbaḳh meñ
tū ne pakte hue khānoñ ko to dekhā hotā
vo jo murdār ke qiime se bhare jaate haiñ
kaash un roġhnī nānoñ ko to dekhā hotā
tū mirī jaan kahīñ aur milā kar mujh se
jānāñ! rozāna tire lunch kā bil kaise duuñ
maiñ koī seTh nahīñ koī smuggler bhī nahīñ
mujh ko hotī nahīñ uupar kī kamā.ī hargiz
maiñ kisī daftar-e-maḳhsūs kā afsar bhī nahīñ
tū mirī jaan kahīñ aur milā kar mujh se
ghaag baire ne dikhā kar baḌā mahñgā menu
ham ġharīboñ kī mohabbat kā uḌāyā hai mazāq
ishq hai mujh se to ''coffē'' hī ko kaafī samjho
maiñ mañgā saktā nahīñ murġh-musallam kā tabāq
tū mirī jaan kahīñ aur milā kar mujh se
dodge ke nam se jaanan tujhe ulfat hi sahi
dodge hotel se tujhe KHas aqidat hi sahi
us ki chae se chikan soup se raghbat hi sahi
dodge karna bhi azal se teri aadat hi sahi
tu meri jaan kahin aur mila kar mujh se
qais o laila bhi to karte the mohabbat lekin
ishq-bazi ke liye dasht ko apnate the
hum hi ahmaq hain jo hotel mein chale aate hain
wo samajhdar the jangal ko nikal jate the
tu meri jaan kahin aur mila kar mujh se
kash is marmarin hotel ke baDe matbaKH mein
tu ne pakte hue khanon ko to dekha hota
wo jo murdar ke qime se bhare jate hain
kash un roghni nanon ko to dekha hota
tu meri jaan kahin aur mila kar mujh se
jaanan! rozana tere lunch ka bil kaise dun
main koi seTh nahin koi smuggler bhi nahin
mujh ko hoti nahin upar ki kamai hargiz
main kisi daftar-e-maKHsus ka afsar bhi nahin
tu meri jaan kahin aur mila kar mujh se
ghag baire ne dikha kar baDa mahnga meinu
hum gharibon ki mohabbat ka uDaya hai mazaq
ishq hai mujh se to coffee hi ko kafi samjho
main manga sakta nahin murgh-musallam ka tabaq
tu meri jaan kahin aur mila kar mujh se
- Book : Dish antenna (Pg. 175)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.