dolphin
chalo ab sameTo khilaune
kitābeñ nikālo
ye kyā Dher tum ne lagāyā huā hai phaTe kāġhazoñ kā
udheḌī huī dolphin maañ ne dekhī to kūTegī
aañsū bahāte hue tum
mire paas aaoge
lekin maiñ sahmī huī
maañ kī añgāra-āñkhoñ se āñkheñ churā.ūñgī
miTTī kuredūñgī paañv ke nāḳhun se
hāthoñ ke nāḳhun katarte hue apne dāñtoñ se
maiñ ne ka.ī baar dekhā hai tum
us kī jholī meñ chhup kar mirā muñh chaḌhāte ho
chorī kiye us ke paisoñ kā imchor khāte ho
paanī Tapaktā hai hoñToñ se mere
to maañ DāñTtī hai
dupaTTa uḌātī hai
jaane vo kyā baḌbaḌātī hai
kalmohī kahtī hai kis ko
mujhe us ne ab tak batāyā nahīñ hai
ki khaTTī zabānoñ pe shīrīnī rakkho to
ubkā.ī machhlī kī mānind bāhar lapaktī hai kyuuñ
ḳhair chhoḌo mujhe
tum phaTī dolphin sambhālo!
chalo ab sameTo khilaune
kitaben nikalo
ye kya Dher tum ne lagaya hua hai phaTe kaghazon ka
udheDi hui dolphin man ne dekhi to kuTegi
aansu bahate hue tum
mere pas aaoge
lekin main sahmi hui
man ki angara-ankhon se aankhen churaungi
miTTi kuredungi panw ke naKHun se
hathon ke naKHun katarte hue apne danton se
main ne kai bar dekha hai tum
us ki jholi mein chhup kar mera munh chaDhate ho
chori kiye us ke paison ka imchor khate ho
pani Tapakta hai honTon se mere
to man DanTti hai
dupaTTa uDati hai
jaane wo kya baDbaDati hai
kalmohi kahti hai kis ko
mujhe us ne ab tak bataya nahin hai
ki khaTTi zabanon pe shirini rakkho to
ubkai machhli ki manind bahar lapakti hai kyun
KHair chhoDo mujhe
tum phaTi dolphin sambhaalo!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 91)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.