donon pareshan ho gae
sab se pahle ishq meñ unglī hī pakḌī jaa.e hai
rafta-rafta phir kahīñ pahuñche kā number aa.e hai
roz mujh ko va.ada-e-fardā pe jo Tarḳhā.e hai
maiñ tirī chāloñ ko samjhūñ huuñ mujhe bahlā.e hai
vo to sach-much qatl ke maidāñ meñ haiñ ḳhanjar-ba-kaf
ab na Thahrā jaa.e hai mujh se na bhāgā jaa.e hai
dil to dil haañ jaan kho kar bhī na paayā aap ko
ham to sunte aa.e haiñ jo kho.e hai vo paa.e hai
dekh hāthā-pā.ī kī naubat na aa jaa.e kahīñ
kyā tirī shāmat na gherā hai jo tū sharmā.e hai
un kī chāhat thī mujhe ab merī chāhat hai unheñ
husn bhī to ishq ke sāñche meñ Dhaltā jaa.e hai
tujh se terī zulf se donoñ pareshāñ ho ga.e
mujh ko tū laTkā.e hai aur dil ko vo laTkā.e hai
mujh se ye kah kar sifārish kar rahe haiñ ġhair kī
haa.e bechāra hamesha Tāptā rah jaa.e hai
arz-e-dil sun kar ajiib andāz se kahne lage
merī suntā hī nahīñ bas apnī apnī gaa.e hai
kuchh mirī tadbīr se kuchh ġhair kī taqdīr se
kaam bantā hai magar ban ban ke bigḌā jaa.e hai
sharbat-e-dīdār kī ummīd un se kyā kareñ
ab shakar miltī nahīñ hai sirf guḌ kī chaa.e hai
jāgnā aur intizār-e-yār karnā hai fuzūl
roz kā dhandā hai ye vo aa.e hai na jaa.e hai
ik jhalak dikhlā ke tū haftoñ ko pinhāñ ho gayā
mujh pe mere yaar kyoñ jhūTā karam farmā.e hai
baat qaabū kī nahīñ hai ab to maiñ majbūr huuñ
kyā tabī.at ko sañbhālūñ dil to phislā jaa.e hai
maiñ ne maanā sher mere kuchh nahīñ phir bhī 'zarīf'
kuchh na kuchh mahfil kā in se rang to jam jaa.e hai
sab se pahle ishq mein ungli hi pakDi jae hai
rafta-rafta phir kahin pahunche ka number aae hai
roz mujh ko wada-e-farda pe jo TarKHae hai
main teri chaalon ko samjhun hun mujhe bahlae hai
wo to sach-much qatl ke maidan mein hain KHanjar-ba-kaf
ab na Thahra jae hai mujh se na bhaga jae hai
dil to dil han jaan kho kar bhi na paya aap ko
hum to sunte aae hain jo khoe hai wo pae hai
dekh hatha-pai ki naubat na aa jae kahin
kya teri shamat na ghera hai jo tu sharmae hai
un ki chahat thi mujhe ab meri chahat hai unhen
husn bhi to ishq ke sanche mein Dhalta jae hai
tujh se teri zulf se donon pareshan ho gae
mujh ko tu laTkae hai aur dil ko wo laTkae hai
mujh se ye kah kar sifarish kar rahe hain ghair ki
hae bechaara hamesha Tapta rah jae hai
arz-e-dil sun kar ajib andaz se kahne lage
meri sunta hi nahin bas apni apni gae hai
kuchh meri tadbir se kuchh ghair ki taqdir se
kaam banta hai magar ban ban ke bigDa jae hai
sharbat-e-didar ki ummid un se kya karen
ab shakar milti nahin hai sirf guD ki chae hai
jagna aur intizar-e-yar karna hai fuzul
roz ka dhanda hai ye wo aae hai na jae hai
ek jhalak dikhla ke tu hafton ko pinhan ho gaya
mujh pe mere yar kyon jhuTa karam farmae hai
baat qabu ki nahin hai ab to main majbur hun
kya tabiat ko sanbhaalun dil to phisla jae hai
main ne mana sher mere kuchh nahin phir bhi 'zarif'
kuchh na kuchh mahfil ka in se rang to jam jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.