doraha
ajab dorāhe pe aa khaḌā huuñ
idhar tire husn kī dhanak hai
udhar adū kī kamīn-gāhoñ meñ aslahe kī chamak damak hai
udhar tirī nuqra.ī hañsī hai
idhar samā.at-ḳharāsh chīḳhoñ kā zer-o-bam hai
udhar tire tarah jism
zindagī kī harārtoñ kā naqīb ban kar bulā rahā hai
idhar ajal nit zindagī ko
thapak thapak kar sulā rahā hai
ajab dorāhe pe aa khaḌā huuñ
maiñ sochtā huuñ
ki kaun sā sāz-e-fan uThā.ūñ
qalam uThā.ūñ ki gun uThā.ūñ
ajab dorahe pe aa khaDa hun
idhar tere husn ki dhanak hai
udhar adu ki kamin-gahon mein aslahe ki chamak damak hai
udhar teri nuqrai hansi hai
idhar samaat-KHarash chiKHon ka zer-o-bam hai
udhar tere tarah jism
zindagi ki hararton ka naqib ban kar bula raha hai
idhar ajal nit zindagi ko
thapak thapak kar sula raha hai
ajab dorahe pe aa khaDa hun
main sochta hun
ki kaun sa saz-e-fan uThaun
qalam uThaun ki gun uThaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.