dost ki pahchan
bachcho nizām-ul-mulk vazīr
dānā.ī kī thā tasvīr
us se milne ko sad.hā
aate the adnā a.alā
achchhī jagah par biThlātā
aur mohabbat farmātā
ik būḌhā aatā har din
had se ziyāda jis kā sin
logoñ ne us se pūchhā
aatā kyoñ hai ye buDDhā
karte ho kyoñ us kī izzat
is buDDhe kī ye azmat
bolā un sab se ye vazīr
hai achchhā tum se ye faqīr
tum to ḳhushāmad karte ho
merī ḳhushī par marte ho
lekin ye buDDhā daanā
mere aib hai batlātā
dost ye hai merā aslī
maanā huuñ har baat is kī
is ko na dushman jaano tum
merā kahnā maano to tum
dost vahī hai ai 'jauhar'
baat kahe sachchī muñh par
bachcho nizam-ul-mulk wazir
danai ki tha taswir
us se milne ko sadha
aate the adna aala
achchhi jagah par biThlata
aur mohabbat farmata
ek buDha aata har din
had se ziyaada jis ka sin
logon ne us se puchha
aata kyon hai ye buDDha
karte ho kyon us ki izzat
is buDDhe ki ye azmat
bola un sab se ye wazir
hai achchha tum se ye faqir
tum to KHushamad karte ho
meri KHushi par marte ho
lekin ye buDDha dana
mere aib hai batlata
dost ye hai mera asli
mana hun har baat is ki
is ko na dushman jaano tum
mera kahna mano to tum
dost wahi hai ai 'jauhar'
baat kahe sachchi munh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.