dost ruKHsat ho gae
dost ruḳhsat ho ga.e
un se mulāqāteñ ga.iiñ bāteñ ga.iiñ
shahar thā ābād jin ke dam-qadam se
vo hamārī chāñdnī rāteñ ga.iiñ
marne vaale mar ga.e
zinda magar ham bhī nahīñ
vo to ġhusl-e-āḳhirī le kar hue phir tāzgī se āshnā
nithre suthre oḌh kar apnī safedī ke kafan
kāfūr kī ḳhushbū ko nathunoñ meñ samā.e
so ga.e ārām se ThanDe badan
apnī apnī qabr par takiya kiye
vo thakan kī is musalsal sarsarāhaT se to ab āzād haiñ
saañs kī zanjīr se laTke hue
jāgte rahne kī kāvish aur lagan
is tag-o-dau se pare ābād haiñ
aur ham
jo is kināre par khaḌe
roz-o-shab lahroñ kā karte haiñ shumār
āp-bītī roz sunte haiñ
magar ḳhāmosh haiñ
ḳhāmushī se bahtā paanī
roz bahtā dekhte haiñ
Duub jaane kī magar himmat nahīñ
kaun jaane Duub hī jaa.eñ kahīñ
Duub jaao yā chale aao idhar
baaz aao aur phir zinda raho
sātvāñ dar bhī khulā hai muntazir
dāġh-e-hijrat de ga.e ḳhushbū ke phuul
kaun ab ban kar charāġh-e-rāh tum ko
haath se uñglī pakaḌ kar
tifl-e-maktab kī tarah le kar baḌhe
aur ye kahe
maut kā lamha hamārī zindagī kā aa gayā
jism kī ThanDak to dastak de rahī hai
aao kuchh bāteñ kareñ
aur phir chaleñ
dost ruḳhsat ho ga.e
dost ruKHsat ho gae
un se mulaqaten gain baaten gain
shahar tha aabaad jin ke dam-qadam se
wo hamari chandni raaten gain
marne wale mar gae
zinda magar hum bhi nahin
wo to ghusl-e-aKHiri le kar hue phir tazgi se aashna
nithre suthre oDh kar apni safedi ke kafan
kafur ki KHushbu ko nathunon mein samae
so gae aaram se ThanDe badan
apni apni qabr par takiya kiye
wo thakan ki is musalsal sarsarahaT se to ab aazad hain
sans ki zanjir se laTke hue
jagte rahne ki kawish aur lagan
is tag-o-dau se pare aabaad hain
aur hum
jo is kinare par khaDe
roz-o-shab lahron ka karte hain shumar
aap-biti roz sunte hain
magar KHamosh hain
KHamushi se bahta pani
roz bahta dekhte hain
Dub jaane ki magar himmat nahin
kaun jaane Dub hi jaen kahin
Dub jao ya chale aao idhar
baz aao aur phir zinda raho
satwan dar bhi khula hai muntazir
dagh-e-hijrat de gae KHushbu ke phul
kaun ab ban kar charagh-e-rah tum ko
hath se ungli pakaD kar
tifl-e-maktab ki tarah le kar baDhe
aur ye kahe
maut ka lamha hamari zindagi ka aa gaya
jism ki ThanDak to dastak de rahi hai
aao kuchh baaten karen
aur phir chalen
dost ruKHsat ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.