dosti
Interesting Fact
(پینتالیس سال کے بعد اپنے بچپن کے دوست فہیم انصاری سے ملاقات پر کہی گئی نظم)
dostī is jahāñ meñ ne'mat hai
ye 'ināyat hai rab kī rahmat hai
dostī raushnī hai tāroñ kī
dostī ḳhushbū apne pyāroñ kī
dostī dilkashī nazāroñ kī
gungunāhaT hai ābshāroñ kī
dostī dukh ko baañT letī hai
dostī saath saath chaltī hai
dostī meñ qarār miltā hai
dostī meñ to pyaar miltā hai
dost mahfil kī jaan hote haiñ
jaan hote haiñ maan hote haiñ
dostī pyaar se banī mūrat
dostī rang-o-nūr kī sūrat
mirā bachpan kā yaar aayā hai
kitnī ḳhushiyāñ vo saath laayā hai
aaj barsoñ ke baa'd ham haiñ mile
chaar sū jaise mere phuul khule
tum salāmat raho rahe yaarī
yaar mere fahīm ansārī
dosti is jahan mein ne'mat hai
ye 'inayat hai rab ki rahmat hai
dosti raushni hai taron ki
dosti KHushbu apne pyaron ki
dosti dilkashi nazaron ki
gungunahaT hai aabshaaron ki
dosti dukh ko banT leti hai
dosti sath sath chalti hai
dosti mein qarar milta hai
dosti mein to pyar milta hai
dost mahfil ki jaan hote hain
jaan hote hain man hote hain
dosti pyar se bani murat
dosti rang-o-nur ki surat
mera bachpan ka yar aaya hai
kitni KHushiyan wo sath laya hai
aaj barson ke ba'd hum hain mile
chaar su jaise mere phul khule
tum salamat raho rahe yari
yar mere fahim ansari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.