dosto aao aaj aasman ki gahri nilahaTon par
dosto aao aaj āsmān kī gahrī nīlāhaToñ par
apnī udāsī kā jaal pheñkeñ
aur dekheñ
ye gol gol chāñd sitāre
jo bushirt meñ tañke hue baTanoñ kī tarah jagmagāte haiñ
kyoñ haath nahīñ aate haiñ
kis liye duur ḳhalā kī barf sī chādar
adh-khulī aañkh kī tarah ḳhvābīda hai
kaun hai jo āsmān ke sabz gumbad meñ baiThā huā
sadāoñ ke samandar nīche aur nīche
bahātā jā rahā hai
pātāl lok kī be-ḳhvāb nagrī meñ base hue log
apnī khaal ke andar ke zaḳhm ko maze le le kar
apne tez nāḳhunoñ se khurachte haiñ
aur rāhat kī saañs lete haiñ
pahchān ke saare alfāz sirf havā meñ tairte haiñ
hoñToñ se nikle hue shabdoñ kī kaḌiyāñ
sirf dikhāvā maatr haiñ kahīñ kuchh bhī nahīñ
na koī aatā hai aur na koī jaatā hai
sirf ek vahshī samandar hai jo din-rāt chīḳhtā hai
udaas nasloñ ko apne anjām ke liye kuchh bhī nahīñ sochnā hai
dekhne aur sunñe kā kaam karte haiñ computers
is liye
fikr kī koī baat nahīñ
botal ko haath meñ le kar yūñhī piite raho
dosto aao aaj aasman ki gahri nilahaTon par
apni udasi ka jal phenken
aur dekhen
ye gol gol chand sitare
jo bushirt mein tanke hue baTanon ki tarah jagmagate hain
kyon hath nahin aate hain
kis liye dur KHala ki barf si chadar
adh-khuli aankh ki tarah KHwabida hai
kaun hai jo aasman ke sabz gumbad mein baiTha hua
sadaon ke samandar niche aur niche
bahata ja raha hai
patal lok ki be-KHwab nagri mein base hue log
apni khaal ke andar ke zaKHm ko maze le le kar
apne tez naKHunon se khurachte hain
aur rahat ki sans lete hain
pahchan ke sare alfaz sirf hawa mein tairte hain
honTon se nikle hue shabdon ki kaDiyan
sirf dikhawa matr hain kahin kuchh bhi nahin
na koi aata hai aur na koi jata hai
sirf ek wahshi samandar hai jo din-raat chiKHta hai
udas naslon ko apne anjam ke liye kuchh bhi nahin sochna hai
dekhne aur sunne ka kaam karte hain computers
is liye
fikr ki koi baat nahin
botal ko hath mein le kar yunhi pite raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.