dosto sathiyo
naujavānān-e-vatan shān-e-vatan ban jaao
tum hī kashtī bhī ho sāhil bhī ho māñjhī tum ho
ahl-e-ulfat ke liye gautam-o-gāñdhī tum ho
vaqt paḌ jaa.e to Tiipū se sipāhī tum ho
tum ne har daur meñ rakkhī hai yūñhī shān-e-vatan
raat tārīk hai sūraj kī kiran ban jaao
paak jamunā kī qasam azmat-e-gangā kī qasam
marmarīñ taaj kī dīvār-e-ajantā kī qasam
sar uThā.e hue is koh-e-himāla kī qasam
zarre zarre ke laboñ par hai mohabbat kā bhajan
pyaar kī raah meñ tum prem pavan ban jaao
apnī dhartī ko har aafat se bachānā hogā
bhuuk aur qaht kī la.anat ko miTānā hogā
saḳht chaTTānoñ ko gulzār banānā hogā
lahlahāte hue khetoñ kī ye rangīn phaban
dhuup hai tez bahut sāya-fagan ban jaao
naujawanan-e-watan shan-e-watan ban jao
tum hi kashti bhi ho sahil bhi ho manjhi tum ho
ahl-e-ulfat ke liye gautam-o-gandhi tum ho
waqt paD jae to Tipu se sipahi tum ho
tum ne har daur mein rakkhi hai yunhi shan-e-watan
raat tarik hai suraj ki kiran ban jao
pak jamuna ki qasam azmat-e-ganga ki qasam
marmarin taj ki diwar-e-ajanta ki qasam
sar uThae hue is koh-e-himala ki qasam
zarre zarre ke labon par hai mohabbat ka bhajan
pyar ki rah mein tum prem pawan ban jao
apni dharti ko har aafat se bachana hoga
bhuk aur qaht ki lanat ko miTana hoga
saKHt chaTTanon ko gulzar banana hoga
lahlahate hue kheton ki ye rangin phaban
dhup hai tez bahut saya-fagan ban jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.