dozaKH
mauj-e-sahbā meñ tamannā ke safīne kho kar
naġhma o raqs kī mahfil se jo ghabrā ke uThā
ek hañstī huī guḌiyā ne ishāre se kahā
tum jo chāho to maiñ shab bhar kī rifāqat baḳhshūñ
jumbish-e-abrū ne alfāz kī zahmat bhī na dī
nīm-vā āñkhoñ meñ ik dāvat-e-ḳhāmosh liye
yuuñ simaT kar mirī āġhosh meñ aa.ī jaise
bharī duniyā meñ bas ik gosha-e-rāhat thā yahī
ham bhī vīrān guzargāhoñ pe chalte chalte
ghar tak aa.e to koī rañg-e-takalluf hī na thā
do badan milte hī yuuñ hamdam-e-derīna bane
tandahi-e-shauq meñ duurī kā har ehsās miTā
sub.h ke saath khulī aañkh to ehsās huā
mere siine meñ koī chiiz thī jo TuuT ga.ī
der se dekh rahī thī tirī tasvīr mujhe
tere aariz pe thī bahte hue ashkoñ kī namī
terī ḳhāmosh nigāhoñ meñ koī shikva na thā
dekhte dekhte vīrāni-e-dil aur baḌhī
terī tasvīr ko siine se lagā kar pūchhā
kis tarab-zār meñ āsūda hai ai rāhat-e-zīst
mujhe in aag ke shāloñ meñ kahāñ chhoḌ ga.ī
mauj-e-sahba mein tamanna ke safine kho kar
naghma o raqs ki mahfil se jo ghabra ke uTha
ek hansti hui guDiya ne ishaare se kaha
tum jo chaho to main shab bhar ki rifaqat baKHshun
jumbish-e-abru ne alfaz ki zahmat bhi na di
nim-wa aankhon mein ek dawat-e-KHamosh liye
yun simaT kar meri aaghosh mein aai jaise
bhari duniya mein bas ek gosha-e-rahat tha yahi
hum bhi viran guzargahon pe chalte chalte
ghar tak aae to koi rang-e-takalluf hi na tha
do badan milte hi yun hamdam-e-derina bane
tandahi-e-shauq mein duri ka har ehsas miTa
subh ke sath khuli aankh to ehsas hua
mere sine mein koi chiz thi jo TuT gai
der se dekh rahi thi teri taswir mujhe
tere aariz pe thi bahte hue ashkon ki nami
teri KHamosh nigahon mein koi shikwa na tha
dekhte dekhte virani-e-dil aur baDhi
teri taswir ko sine se laga kar puchha
kis tarab-zar mein aasuda hai ai rahat-e-zist
mujhe in aag ke shaalon mein kahan chhoD gai
- Book : naqsh-e-bar aab (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.