drawing-room
terā jism lahū hai merā
jis kī būñdeñ
gul-daste ke phuul haiñ
dīvāroñ par tasvīreñ haiñ
kashtī kashtī Dol rahī hai
lep ke saa.e
ye sab merī zanjīreñ haiñ
jin ko mere zehn kā aahan kaaT rahā hai
kab tak maiñ zindāñ meñ baiThā
aane vaale kal ko musht-e-ḳhāk samajh kar
zarre zarre ko bhīchuñgā
dard kī āvāz se kab tak
giit sunūñgā
añgāroñ par loT rahā huuñ
kab tak chob-e-munaqqash thāme
maiñ sochūñgā
vo ye shāḳh hai jis meñ ik din phuul khileñge
tera jism lahu hai mera
jis ki bunden
gul-daste ke phul hain
diwaron par taswiren hain
kashti kashti Dol rahi hai
lep ke sae
ye sab meri zanjiren hain
jin ko mere zehn ka aahan kaT raha hai
kab tak main zindan mein baiTha
aane wale kal ko musht-e-KHak samajh kar
zarre zarre ko bhichunga
dard ki aawaz se kab tak
git sununga
angaron par loT raha hun
kab tak chob-e-munaqqash thame
main sochunga
wo ye shaKH hai jis mein ek din phul khilenge
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-263 p-251)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.