drawing-room
dūdhiyā rañg ke qumqume
dūdhiyā raushnī
jāmunī rañg shīshoñ pe ye raushnī kā dhuāñ
zehn kī dhīmī dhīmī sulagtī huī aag kā imtihāñ
kuchh gray rañg ke suiT
kuchh champa.ī sāriyāñ
dast-e-nāzuk meñ dast-e-sabā adh-khilī
ḳhvāb-ālud āñkhoñ meñ afsāne
nā-ḳhvāsta guftugū
ham-nashīnī se añgḌā.ī ke saath pahlū tahī
jazb kartī pasīne ko barqī havā
sarsarāte hue āñchaloñ se
shafaq rañg jismoñ kī uThtī mahak
aur latā ek mānūs āvāz kī dhaar
classici lahroñ se uTh kar diloñ meñ utartī huī
naġhmagī shahd āhañg hai
naġhmagī nik.hat-o-rañg hai
mez par sho.ala-e-tūr hai
sartre self meñ band hai
kaag uḌātī huī botaloñ kā surūr
āgahī ke liye zahr hai
dudhiya rang ke qumqume
dudhiya raushni
jamuni rang shishon pe ye raushni ka dhuan
zehn ki dhimi dhimi sulagti hui aag ka imtihan
kuchh gray rang ke suiT
kuchh champai sariyan
dast-e-nazuk mein dast-e-saba adh-khili
KHwab-alud aankhon mein afsane
na-KHwasta guftugu
ham-nashini se angDai ke sath pahlu tahi
jazb karti pasine ko barqi hawa
sarsaraate hue aanchalon se
shafaq rang jismon ki uThti mahak
aur lata ek manus aawaz ki dhaar
classici lahron se uTh kar dilon mein utarti hui
naghmagi shahd aahang hai
naghmagi nikhat-o-rang hai
mez par shoala-e-tur hai
sartre self mein band hai
kag uDati hui botalon ka surur
aagahi ke liye zahr hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.