drawing-room
ye scenary hai ye tāj-mahal ye kirshn haiñ aur ye rādhā haiñ
ye coach hai ye pipe hai mirā ye novel hai ye risāla hai
ye radio hai ye qumqume haiñ ye mez hai ye gul-dasta hai
ye 'gāñdhī' haiñ 'tagore' haiñ ye ye shāhansha ye malika haiñ
har chiiz kī bābat pūchhtī hai jaane kitnī ma.asūm hai ye
haañ is par raat ko sone se mīThī mīThī niiñd aatī hai
haañ is ke dabāne se bijlī kī raushnī gul ho jaatī hai
samjhī ki nahīñ ye kamra hai haañ merā drawing-rōm hai ye
itnī jaldī mazdūr aurat āḳhir ye gale meñ bāñheñ kyuuñ
le der huī ab bhaag bhī jā bas itnī mohabbat kaafī hai
is mulk ke bhūke pyāsoñ ko paise hī kī hājat kaafī hai
itnī hañsmukh ḳhāmoshī itnī mānūs nigāheñ kyuuñ
maiñ soch rahā huuñ kuchh baiThā pipe ke dhuveñ ke bādal meñ
maiñ chhup sā gayā huuñ ik nāzuk taḳh.īl ke maile āñchal meñ
ye scenary hai ye taj-mahal ye kirshn hain aur ye radha hain
ye coach hai ye pipe hai mera ye nowel hai ye risala hai
ye radio hai ye qumqume hain ye mez hai ye gul-dasta hai
ye 'gandhi' hain 'tagore' hain ye ye shahansha ye malika hain
har chiz ki babat puchhti hai jaane kitni masum hai ye
han is par raat ko sone se miThi miThi nind aati hai
han is ke dabane se bijli ki raushni gul ho jati hai
samjhi ki nahin ye kamra hai han mera drawing-room hai ye
itni jaldi mazdur aurat aaKHir ye gale mein banhen kyun
le der hui ab bhag bhi ja bas itni mohabbat kafi hai
is mulk ke bhuke pyason ko paise hi ki hajat kafi hai
itni hansmukh KHamoshi itni manus nigahen kyun
main soch raha hun kuchh baiTha pipe ke dhuwen ke baadal mein
main chhup sa gaya hun ek nazuk taKHil ke maile aanchal mein
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 99)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.