dua
daulat jahāñ kī mujh ko tū mere ḳhudā na de
puurī hoñ bas zarūrateñ is ke sivā na de
terī razā meñ ḳhush rahūñ taufīq itnī de
paanī bhale na de mujhe be-shak havā na de
duniyā kī sab malāmateñ mujh ko qubūl haiñ
lekin nazar se apnī tū mujh ko girā na de
aa.eñ na ‘aib mere jahāñ se nazar mujhe
masnad pe aisī mujh ko tū maulā biThā na de
auqāt bhuul jā.ūñ maiñ apnī jahāñ pahuñch
hargiz mire ḳhudā mujhe vo martaba na de
begāna ho na jā.ūñ tirī yaad se kahīñ
shohrat hai naam jis kā mujhe vo balā na de
is baar baḳhsh de mire maulā 'sadā' ko tū
qaid-e-hisār-e-zāt kī phir se sazā na de
daulat jahan ki mujh ko tu mere KHuda na de
puri hon bas zaruraten is ke siwa na de
teri raza mein KHush rahun taufiq itni de
pani bhale na de mujhe be-shak hawa na de
duniya ki sab malamaten mujh ko qubul hain
lekin nazar se apni tu mujh ko gira na de
aaen na ‘aib mere jahan se nazar mujhe
masnad pe aisi mujh ko tu maula biTha na de
auqat bhul jaun main apni jahan pahunch
hargiz mere KHuda mujhe wo martaba na de
begana ho na jaun teri yaad se kahin
shohrat hai nam jis ka mujhe wo bala na de
is bar baKHsh de mere maula 'sada' ko tu
qaid-e-hisar-e-zat ki phir se saza na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.