dua
aaj kā din ki tumhārā din hai
aaj kī dhuup meñ narmī bhī hai
hiddat bhī hai
baam se utrī haiñ kirneñ
tumheñ chhūne ke liye
tum ko chhū leñ to jidhar se guzreñ
rang kā nuur kā ḳhushbū kā ujālā phaile
har taraf phaile amar ho jaa.e
tum ko chhū leñ
chaman se guzreñ
surḳh phūloñ se gale mil ke kaheñ
aaj har rang amar ho jaa.e
aaj kā din ki tumhārā din hai
jhuum ke uTThe haiñ mashriq se
duāoñ ke sahāb
tum amar ho jaao
aaj ka din ki tumhaara din hai
aaj ki dhup mein narmi bhi hai
hiddat bhi hai
baam se utri hain kirnen
tumhein chhune ke liye
tum ko chhu len to jidhar se guzren
rang ka nur ka KHushbu ka ujala phaile
har taraf phaile amar ho jae
tum ko chhu len
chaman se guzren
surKH phulon se gale mil ke kahen
aaj har rang amar ho jae
aaj ka din ki tumhaara din hai
jhum ke uTThe hain mashriq se
duaon ke sahab
tum amar ho jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.