dua
ai ḳhudā mujh ko vo hausla de ki maiñ
is safar ko
jo sab meñ judā
aur sab se chhupā
lamha lamha ravāñ hai mirī zaat meñ
ab raqam kar sakūñ
un sabhoñ ko
jo hamrāh chalte rahe
aur ġhāfil rahe
un ko vo hausla de ki vo
mujh se mil ke
mirā sāmnā kar sakeñ
mujh ko pā ke
hazāroñ baras jī sakeñ
ai KHuda mujh ko wo hausla de ki main
is safar ko
jo sab mein juda
aur sab se chhupa
lamha lamha rawan hai meri zat mein
ab raqam kar sakun
un sabhon ko
jo hamrah chalte rahe
aur ghafil rahe
un ko wo hausla de ki wo
mujh se mil ke
mera samna kar saken
mujh ko pa ke
hazaron baras ji saken
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.